Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Shaame Ghareeban Haye Sham E Ghareeban

Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba
Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Ab Aye Hain Jab Faoj E Khuda So Gai Rann Mein
Jab Khoon Bhara Parcham Hai Alamdar Ka Ban Mein
Seeny Sy Alam Ghazi Ka Liptaiye Baba
Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Maidan Mein Lasha Hai Mery Bhai Ka Uryan
Poshak Mery Bhai Ki Hai Khoon Mein Ghaltan
Lillah Kafan Bhai Ko Pehnaiye Baba
Aaye Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Abid Ko Bacha Lai Hun Jalty Huye Ghar Sy
Go Shimr E Laeen Ly Gaya Chadar Meri Sar Sy
Sar Py Mery Ammamy Ko Phailaiye Baba
Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Baba Mujhe Jana Hai Abhi Qaid E Sitam Mein
Hona Hai Izafa Abhi Kuch Aur Bhi Gham Mein
Dam Nad E Ali Bazo Py Kar Jaiye Baba
Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Baba Main Bahut Tarhpi Hun Shabbir Ky Gham Mein
Dill Tukry Hain Baba Mera Ghazi Ky Alam Mein
Matam Karun Yeh Reesman Khulwaiye Baba
Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Baba Main Rasan Basta Sooye Sham Chali Hun
Lagta Hi Nahi Mujh Ko Keh Main Binte Ali Hun
Hamraah Najaf Ab Mujhy Ly Jaiye Baba
Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Karty Hain Sawalat Farishty Jo Lehad Mein
Ab Dair Na Lillah Karen Ap Madad Mein
Rehan Ki Turbat Mein Chaly Jaiye Baba
Ay Hain Agar Ap To Ruk Jaiye Baba

Ghar Jal Gaya Main Kya Karun Farmaiye Baba

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply