Ay Maariya Ay Nainawa Lyrics Farhan Ali Waris Noha 1997

Ay Maariya Ay Nainawa Lyrics in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Farhan Ali Waris in 1997. View more Farhan Ali Waris Noha Lyrics similar to lyrics of Ay Maariya Ay Nainawa on Khairilamal.

Ay Maariya Ay Nainawa Lyrics by Farhan Ali Waris in English text

Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Yeh Kya Hua Ay Karbala Yeh Kya Hua Ay Karbala
Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Akbar Diya Asghar Diya Hamshakal E Payambar Diya
Woh Sani E Jaffar Diya Har Aik Naamwar Diya
Ummat Ki Khatir Shah Ny Aik Aik Sy Barh Kar Diya
Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Aon O Muhammad Thy Haseen Akbar Sa Woh Maah E Jabeen
Woh Hami E Deen E Mubeen Ronaq Ki Raah Islam Mein Di
Abbas Sa Karyal Jawan Abbas Sa Yawar Diya
Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Ek Nonihal E Panjatan Tha Asghar E Ghuncha Dahan
Chay Maah Ka Nazuk Badan Masum Aur Tashna Dahan
Hum Aasiyon Ky Wastay Is Ka Bhi Sheh Ny Sar Diya
Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Katwa Diya Hai Bhai Ko Abbas Sy Dildar Ko
Shabbir Sy Ghamkhawar Lutwa Diya Ghar Baar Ko
Deen E Khuda Ky Wastay Shabbir Ny Sar Dy Diya
Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Teer O Sinaan Khaye Hussain Gardan Ko Katwaye Hussain
Khud Khoon Mein Nahaye Hussain Ummat Ko Bakhshwaye Hussain
Ham Sab Ki Khatir Shah Ny Har Shay Ko Sadqy Kar Diya
Ay Maariya Ay Nainawa Ay Dasht E Karbala

Leave a Reply

Your email address will not be published.