Reciter: Mir Hasan Mir
Aie Muslim E Ghareeb
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Ya Ali Koofy Mein Phir Aai Hai Rony Sayeda
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Aap Par Jab Ibne Muljim Ny Kiya Sajdy Mein Waar
Hath Pehloo Par Rakhy Yaan Aai Thi Main Pehli Bar
Aaj Phir Us Haal Mein Zahra Ko Hai Ana Parha
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Koofy Walon Ny Isy Mil Kar Hai Mara Ya Ali
Lasha E Muslim Hai Aisy Para Para Ya Ali
Jism Aisa Ra Mery Bachy Ka Zakhmon Sy Bhara
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Kis Tarah Mainy Sambhala Kis Tarha Thama Isy
Kya Bataun Main Kharhi Thi Hath Phailaye Huye
Darul Ammara Sy Jab Tha Lasha E Muslim Gira
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Kuch Hi Din Mein Phir Yahan Aaun Gi Main Roti Hui
Is Ky Bachon Par Chaly Gi Jab Keh Haris Ki Churi
Main Sambhalun Gi Unhen Aa Kar Ruqaiyya Ki Jaga
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Dushmani E Aal E Nabi Sy Is Tarah Dikhlayen Gy
Yun Muhammad Aur Ibraheem Mary Jayen Gy
Naam Ka Bhi Paas Rakhen Gy Na Kuch Ahl E Jafa
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Kar Rahy Hain Zulm Ki Tafseer Yeh Chehron Ky Neel
Kat Rahi Hai Aaj Jo Dar Dar Yeh Aolad E Aqeel
Hai Yaqeenan Yeh Mery Bachon Sy Ulfat Ki Saza
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Bayn Thy Akbar Zuban E Sayeda Par Bas Yehi
Sath Zainab Ky Yahan Phir Mujh Ko Ana Hai Abhi
Sham Tak Ly Jaye Ga Koofy Sy Gham Ka Silsila
Kar Rahi Thiin Lasha E Muslim Py Yeh Zahra Buka
Ay Muslim E Ghareeb
Ay Muslim E Ghareeb