Reciter: Farhan Ali Waris
Hussaina Hussaina Hussaina Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Waa Hussaina
Seenay Pay Tumharay Ya Shah E Paa
Qatil Ho Sawar Wa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Waa Hussaina
Malboos Jisay Khuld Say Aye
Jhoola Jisay Jibreel Jhulaye
Hai Us Ka Kafan Sehraon Ki Khak
Dill Gham Say Figaar Waa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Choomay Jisay Har Waqt Payambar
Main Is Say Hun Yeh Mujh Say Hai Keh Kar
Woh Chehra Hua Aalooda E Khak
Zulfon Mein Ghubar Wa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Quran Ki Awaz Yehi Hai
Ek Tu Hi Sakhi Ibne Sakhi Hai
Aur Teri Yeh Halaat Ho Shah E Paa
Maqtal Ho Mazaar Waa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Woh Jis Ka Padar Shah E Arab Ho
Sardar E Jinaan Jis Ka Laqab Ho
Teeron Say Badan Zakhmon Say Dill Chaar
Yeh Halat E Zaar Wa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Maan Jis Ki Ho Shahzadi E Konain
Takhleeq Hon Jis Kay Liye Darain
Ab Royen Usay Zameen Aur Aflaak
Madar Ki Pukar Wa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Insan Ko Qalandar Jo Bana Day
Bey Zar Ko Abu Zar Jo Bana Dey
Us Ghar Mein Urhatay Hain Haram Khak
Ba Halat E Zaar Wa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Teeron Ky Musallay Nay Sada Di
Hai Kon Teray Jaisa Namazi
Karti Hai Bahan Noha Sar E Khak
Ay Naiza Sawar Waa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Farhan Jo Guzri Shah E Deen Par
Likh Sakta Nahi Koi Sukhan War
Mazhar Kay Qalam Ko Hai Yeh Idraak
Us Ki Hai Pukaar Wa Hussaina
Ay Rakib E Dosh E Shah E Lolak
Ba Izz O Wiqar Wa Hussaina
Seeney Pay Tumharay Ya Shah E Paa
Qatil Ho Sawar Wa Hussaina