Reciter: Farhan Ali Waris
Baap Ki Lash Pe Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Zanjeeren Hain Hath Mein Baba Kaisy Tumhen Dafnaun
Baap Ki Lash Pe Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Ghash Sy Jaag Ky Baba Mainy Kaisa Manzar Dekha
Be Bazoo Abbas Ko Dekha Aap Ko Bey Sar Dekha
Aap Ka Sar Abbas Ky Bazoo Goud Mein Kaisy Uthaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Bey Chadar Hai Maayen Behnen Tum Ny Kafan Na Paya
Door Talak Hai Dhoop Ka Sehra Bachy Hain Bay Saya
Ahle Haram Ka Sar Dhanpun Ya Tum Ko Kafan Pehnaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Jalty Khaimy Pyasy Bachy Samny Behta Dariya
Koshish Kar Ky Mil Bhi Jaye Pani To Ay Baba
Aag Bujhaun Khaimon Ki Ya Sab Ki Pyas Bujhaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Sab Ky Galy Par Taigh Chali Aur Main Ab Tak Zinda Hun
Yun Lagta Hai Shehr E Ajal Ka Main Bhi Bashinda Hun
Lekin Bey Chadar Kunby Ko Chorh Ky Kaisy Jaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Baba Taoq Jhukaye Gardan Bairhi Paon Na Chorhy
Tum Ko Qatal Kiya Ahdaa Ny Mujh Par Zulm Yeh Torhy
Aap Ki Laash Py Matam Kar Ky Rony Bhi Na Paun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Bayn Kary Akbar Ki Madar Asghar Ki Maan Roye
Qasim Ki Maan Pooch Rahi Hai Laal Kahan Tum Soye
Kis Ky Sar Par Hath Rakhun Main Kis Kis Ko Samjhaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Acha Baba Jaanib E Zindaan Mujh Ko Safar Karna Hai
Mery Haq Mein Aik Dua Bas Mery Padar Karna Hai
Zainab Par Jo Pathar Barsy Woh Pathar Main Khaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun
Rakhta Hun Rehan Main Dill Mein Aik Tamanna Har Dam
Aaj Ky Din Sy Hashr Ky Din Tak Sirf Rahy Yeh Aalam
Parhta Rahy Farhan Yeh Nohay Aur Main Likhta Jaun
Baap Ki Lash Py Qaidi Beta Kehta Hai Mar Na Jaun