Reciter: Mir Hasan Mir
haye
Sadmy Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Darbar Ja Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Baba Yeh Fatima Py Museebat Ka Waqt Hai
Yeh Marhala Kathan Hai Qayamat Ka Waqt Hai
Khutba Suna Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Sadmy Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Koi Mujhy Bataye Keh Kya Tha Mera Qusoor
Sadma Hai Yeh Keh Shehar Ki Abadion Sy Door
Aansoo Baha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Sadmy Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Baba Tumharay Bad Yeh Mujh Par Sitam Hua
Mohsin Mera Shaheed Hua Wa Museebata
Yeh Gham Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Sadmy Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Baba Ghareeb Beti Ki Ghurbat Ko Dekh Lo
Ummat Ny Haq Nahi Diya Binte Rasool Ko
Yeh Ajar Pa Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Sadmy Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Ummat Ki Har Naqab Ko Rukh Sy Hata Sy Aaj
Darbar Mein Laeen Ky Khutba Suna Ky Aj
Haq Ko Bacha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad
Sadmy Utha Rahi Hun Main Baba Tumharay Bad