Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Bismillah Al Rahman Al Rahim

Al Yaoma Akmalto Lakum Deena Kum
Wa Atmamto Alaikum Neymati
Wa Razeetulakumul Islam A Deena

Al Yaoma Akmalto Lakum Deena Kum
Al Yaoma Akmalto Lakum Deena Kum

Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno

Man Kunto Maula Fa Haza Ali Un Mola

Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno

Kamal E Deen E Khuda Ko Ghadeer Kehtay Hain
Risalaton Ki Baqa Ko Ghadeer Kehtay Hain
Ada E Ehd E Wafa Ko Ghadeer Kehtay Hain
Munafiqon Ki Saza Ko Ghadeer Kehtay Hain
Yeh Deen E Haq Yeh Shariyat Baqa Pazeer Na Ho
Jahan Mein Kuch Bhi Na Reh Jaye Gar Ghadeer Na Ho

Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno

Ghadeer Markaz E Sidq O Safa Ko Kehtay Hain
Ghadeer Mamlikat E Murtaza Ko Kehtay Hain
Ghadeer Manzil E Ahl E Wafa Ko Kehtay Hain
Ghadeer Eid E Rasool E Khuda Ko Kehtay Hain
Bahar E Qalb Ka Qissa Tamam Ho Jaye
Yeh Din Na Ho To Tabassum Haram Ho Jaye

Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno

Sahabiyat Ki Haseen Sham Bhi Ghadeer Say Hai
Wiqar E Buzar O Salman Bhi Ghadeer Say Hai
Dilon Mein Khoon Ka Doran Bhi Ghadeer Say Hai
Khuda Paraston Ki Pehchan Bhi Ghadeer Say Hai
Koi Nishan Koi Khat Koi Lakeer Nahi
Wahan Pay Deen Nahi Hai Jahan Ghadeer Nahi

Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno

Hui Rasool Kay Hathon Adaye Farz E Ghadeer
Muheet E Alam E Imkan Hai Tool O Arz E Ghadeer
Utar Sakay Ga Na Ahl E Falak Say Qarz E Ghadeer
Bulandiyon Ky Liye Rehnuma Hai Arz E Ghadeer
Nujoom Tank Kay Roshan Jahan Banaye Gaye
Isi Zameen Kay Liye Aasman Banaye Gaye

Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno

Khuda Kay Deen Ko Dirham Mein Tolnay Walay
Mayan E Kasa E Dil Zehr Gholnay Walay
Zaban E Faak Ky Lehjay Mein Bolnay Walay
Khilaf E Sayed E Lolak Bolnay Walay
Tujhay Lehad Mein Aseer E Azab Kar Day Ga
Ali Ka Bughz Hai Mitti Kharab Kar Day Ga

Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno

Bahar E Husn E Ibadat Ka Nam Hai Kaaba
Kamal E Ishq O Mohabbat Ka Nam Hai Kaaba
Faheem E Ramz E Wilayat Ka Nam Hai Kaaba
Ali Ki Jaaye Wiladat Ka Nam Hai Kaaba
Jo Log Bughz E Ali Mein Tawaf Kartay Hain
Woh Aainay Ko Siyahi Say Saaf Kartay Hain

Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno
Suno Ghadeer Suno Suno Ghadeer Suno

Leave a Reply