Reciter: Farhan Ali Waris

Suno Suno Suno Suno

Isma Ifham

Jab Alam E Barzakh Ko Momin Ka Safar Ho Ga

Salwat Parhen Aap Ko Mairaj Karaun
Main Alam E Barzakh Ka Safar Nama Sunaun

Yeh Aal E Muhammad Ki Ataon Mein Safar Hai
Yeh Parcham E Abbas Ki Chaon Mein Safar Hai
Yeh Bint E Payambar Ki Duaon Mein Safar Hai
Jo Khuld Mein Chalti Hai Hawaon Mein Safar Hai
Har Morh Pay Sab Sahib E Emaan Milen Gay
Buzar Kahin Qambar Kahin Salman Milen Gay

Salwat Parhen Aap Ko Mairaj Karaun
Main Alam E Barzakh Ka Safar Nama Sunaun

Woh Jin Pay Sada Naz Tu Khud Karta Raha Hai
Din Rat Jinhen Jhoom Ky Tu Sunta Raha Hai
Sun Sun Ky Jinhen Khoob Tu Khush Hota Raha Hai
Jo Majlis E Shabbir Mein Tu Parhta Raha Hai
Woh Pak Fazayel Tujhay Yun Ras Hain Aye
Ab Lenay Tujhay Khud Sakhi Abbas Hain Ayen

Salwat Parhen Aap Ko Mairaj Karaun
Main Alam E Barzakh Ka Safar Nama Sunaun

Lay Jata Hai Sarkar Ki Yeh Deed Ko Rasta
Aur Un Ky Fazayel Ki Yeh Tamheed Ko Rasta
Yeh Dushman E Haider Py Hai Tanqeed Ko Rasta
Jata Hai Yehi Wadi E Toheed Ko Rasta
Is Raah Py Yun Aal E Muhammad Ka Karam Hai
Is Rastay Mein Har Chowk Py Ghazi Ka Alam Hai

Salwat Parhen Aap Ko Mairaj Karaun
Main Alam E Barzakh Ka Safar Nama Sunaun

Momin Main Teray Naik Muqaddar Py Hun Naazan
Toqeer Pay Aur Qalb E Munawwar Py Hun Naazan
Tabinda Darakhshan Teray Nayyar Py Hun Naazan
Tum Jaisay Muqaddar Ky Sikandar Py Hun Naazan
Woh Daikho Zara Samnay Anwaar Kharay Hain
Darwazay Pay Khud Haider E Karrar Kharhay Hain

Salwat Parhen Aap Ko Mairaj Karaun
Main Alam E Barzakh Ka Safar Nama Sunaun

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply