Reciter: Farhan Ali Waris
Tanhaiyan Sargoshiyan
Haan Sakina Ki Hai Yeh Fughan
Meri Gardan Mein Bandhi Gai Rassian
Meray Kaanon Say Nochi Gaiin Baaliyan
Khoon Behta Raha Dard Barhta Raha
Tazianay Laeenon Kay Aur Woh Jafa
Bhool Pai Sakina Kahan
Mujh Ko Kaanton Pay Paidal Chalaya Gaya
Baap Ka Sar Dikha Kar Rulaya Gaya
Tha Woh Kaisa Safar Bibiyan Nangay Sar
Aik Ek Zakhm Say Khoon Behta Raha
Bhool Pai Sakina Kahan
Main Jo Roi To Mujh Ko Tamanchay Lagay
Thak Ky Soi To Abid Ko Durray Lagay
Beech Bazar Mein Sheh E Aghiar Mein
Haye Sadaat Ka Jo Tamasha Bana
Bhool Pai Sakina Kahan
Bola Darbar Mein Aa Ky Yun Ek Shaqi
Tu Kaneezi Mein Jaa Hakim E Waqt Ki
Kaisa Lamha Tha Woh Kaisa Sadma Tha Woh
Ro Ky Us Dam Pukari Main Haye Chacha
Bhool Pai Sakina Kahan
Meray Baba Ka Sar Tasht Mein Tha Rakha
Us Say Gustakhiyan Kartay Thay Ashqiya
Koi Hami Na Tha Kis Ko Deti Sada
Aik Ghayyur Baitey Ko Ghaiz Aa Gaya
Bhool Pai Sakina Kahan
Raah Mein Pani Ata Mayassar Agar
Dal Deti Thi Abid Ki Zanjeer Par
Har Qadam Ek Jafa Rona Bhi Jurm Tha
Darmiyan Shamiyon Ky Thi Aal E Abaa
Bhool Pai Sakina Kahan
Poocha Hakim Nay Darbar Mein Shimr Say
In Aseeron Mein Bint E Ali Kon Hai
Ro Rahi Thi Phuphi Thi Woh Kaisi Gharhi
Naam Phuphiyon Ka Leta Tha Woh Bey Haya
Bhool Pai Sakina Kahan
Dill Pay Pathar Rakha Aur Jeeti Rahi
Taziyanay Laeenon Kay Sehti Rahi
Dushmanon Ka Watan Main Aseer E Mahan
Jis Jaga Aik Lamha Tha Ek Saal Sa
Bhool Pai Sakina Kahan
Kam Sini Aur Aseeri Woh Zindaan Ki
Jis Jaga Maot Bhi Aa Ky Ronay Lagi
Yag Nishtar Bani Khak Bistar Bani
Phir Yeh Zindaan Meri Lahad Ban Gaya
Bhool Pai Sakina Kahan
Aik Paigham Hai Zayeron Ko Yehi
Shab Ko Bibi Kay Rozay Pay Jao Kabhi
Ro Rahi Hain Wahan Ab Bhi Tanhaiyan
Sun Ky Aye Hain Farhan O Mazhar Sada
Bhool Pai Sakina Kahan