Reciter: Mohammed Abbas Karim

Haye
Haye
Jab Laot Kay Zahra Masjid Say Roti Hui Ghar Aaiin Apnay
Ghash Kha Kay Zameen Paa Girtay Huye Fizza Ko Pukara Zahra Nay

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Imdad Karo Fizza Imdad Karo Fizza
Ghash Kha Kay Na Gir Jaye Zahra

Fizza Fizza Do Mujh Ko Sahara Fizza

Tatheer Ki Aayat Parh Kar Ki Takreem Rasool E Aazam Nay
Jis Dar Ki Sikhai Ummat Ko Tazeem Rasool E Aazam Nay
Afsoa Wohi Mera Ummat Nay Jalaya Darwaza

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Haider Ko Bachanay Ki Khatir Darwazay Par Jab Main Aai
Zaalim Nay Giraya Dar Mujh Par Mohsin Ko Bacha Na Main Pai
Mohsin Na Raha Mera Pehloo Bhi Shikasta Hai Mera

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Haider Kay Galay Mein Rassi Ko Jab Bandh Kay Aahdaa Nay Khaincha
Haider Say Lipat Kar Balway Mein Zahra Nay Rokna Jab Chaha
Fizza Meray Bazoo Par Talwar Ka Mara Hai Qabza

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Main Kaisay Bataun Ay Fizza Kis Bat Ka Mujh Ko Sadma Hai
Masjid Ki Gali Mein Zalim Nay Chehray Pay Tamancha Mara Hai
Rukhsar Hai Ab Neela Bachon Say Chupati Hun Chehra

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Hain Pasliyan Toot Gaiin Aur Hath Bhi Mera Zakhmi Hai
Zakhmi Hai Mera Dill Bhi Fizza Zakhmi Bazoo Chehra Zakhmi
Ab Hashar Mein Ummat Ka Baba Say Karun Gi Main Shikwa

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Masjid Mein Madinay Ki Fizza Main Sham Ka Manzar Daikh Aai
Darbar Sahrabi Ka Ho Ga Aur Sar Nangay Zainab Ho Gi
Fizza Meri Zainab Ka Us Waqt Bana Lena Parda

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Fizza Ko Masayeb Sab Apnay Ro Ro Kay Bataye Zahra Nay
Abbas O Hasan Yeh Sach Hai Magar Kuch Dard Chupaye Zahra Nay
Jannat Mein Khadeeja Ko Zahra Woh Sunayen Gi Noha

Fizza Fizza Do Mujhko Sahara Fizza

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply