Reciter: Hasan Sadiq
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Kazim Ky Paak Dulary Ko
Mamoon Ny Qatil Zehr Diya
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chaly Zamin Mola
Hai Chaak Gareban Zakhmi Jigar
Aai Hai Yateemi Mola Par
Karty Hain Taqi Mola Matam
Masoom Huye Baba Sy Juda
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Sadaat Py Ghurbat Chai Hai
Mashad Sy Sada Yeh Aai Hai
Phir Aal E Nabi Ka Ghar Ujrha
Phir Aik Ali Hai Qatl Hua
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Kazim Ky Laal Ka Hai Matam
Hai Noha Kunaan Sara Aalam
Mola Ko Nasl E Umaiya Ny
Hai Qatl Kiya Bey Jurm O Khata
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Jis Bhai Se Milny K Liye
Hamsheer Ny Paidal Safar Kiye
Afsos Wohi Bhai Na Raha
Masooma E Qum Karti Hai Buka
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Mazloom Raza Ki Maiyat Par
Roty Hain Nabi Zahra Haider
Giriyaan Hain Sham Ki Makhdooma
Rota Hai Ghareeb E Karbobala
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Ek Soag Ka Alam Hai Taari
Roty Hain Imam E Zamana Bhi
Jawad Zamany Mein Jari
Matam Hai Imam E Zamin Ka
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola
Kazim Ky Pak Dulary Ko
Mamoon Ny Qatil Zehr Diya
Har Ghar Mein Bichao Farsh E Aza
Duniya Se Chalay Zamin Mola