Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi
Ya Hussain
Kabhi Yeh Shareen Ky Ghar Mila Hai
Kabhi Yeh Rahib Ky Ghar Gaya Hai
Kabhi Shajar Py Rasan Sy Bandha
Kabhi Yeh Sandooq Mein Rakha Hai
Na Jany Is Ka Safar Hai Kaisa
Nahi Hai Mazloom Koi Aisa
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Hai Reesh Jis Ki Lahoo Mein Doobi
Ragen Bhi Sookhi Hui Hain Jis Ki
Bhari Hai Zulfon Mein Khak Haye
Katy Hain Lab Aur Jabeen Hai Zakhmi
Ayaan Hain Chehry Sy Gham Bala Ky
Ho Jaisy Maara Rula Rula Kay
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Chala Tha Jis Waqt Is Py Khanjar
Tha Goud Mein Fatima Ki Yeh Sar
Kharhi Thi Sattar Qadam Py Zainab
Gira Yeh Sar Jab Zameen Py Kat Kar
Uthaya Zulfon Sy Shimr Ny Sar
Tapak Raha Tha Lahoo Zameen Par
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Sawar Nok E Sinaan Py Ho Kar
Chala Hai Karbobala Sy Yeh Sar
Nazar Hai Akbar Ky Sar Ki Janib
Ajeeb Ghurbat Ka Hai Yeh Manzar
Kary Yeh Akbar Sy Jab Bhi Baten
To Khoon Roti Hain Is Ki Ankhen
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Nazar Parhy Jab Behan Ky Sar Par
Pukary Abbas Ko Tarhap Kar
Tamanchy Jab Bhi Sakina Khaye
Zameen Py Gir Jaye Haye Yeh Sar
Koi Jo Abid Py Zulm Dhaye
Pukary Naizy Sy Haye Haye
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Giri Thi Naaky Sy Jab Sakina
Waheen Yeh Sar Bhi Thehar Gaya Tha
Nazar Na Aai Jab Is Ko Beti
Tarhap Ky Zainab Ki Simt Dekha
Kaha Yeh Zainab Sy Jald Jao
Meri Sakina Ko Dhund Lao
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Yeh Sar Jo Khooli Ky Hath Aaya
Ajeeb Zalim Ny Zulm Dhaya
Ghar Us Ky Zahra Tarhap Ky Pahunchi
Jab Us Ny Tandoor Mein Chupaya
Kiye Jo Zehra Ny Bayn Ro Kar
Tarhap Raha Tha Hussain Ka Sar
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Sitam Yeh Darbar Mein Hua Tha
Ghareeb Sar Tasht Mein Rakha Tha
Yazid Dandaan E Shah E Deen Par
Charhi Ko Hans Hans Ky Marta Tha
Sakina Abid Ko Dekhti Thi
Pidar Ki Ghurbat Py Ro Rahi Thi
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Hai Sham Ki Qaid Ka Yeh Manzar
Mila Sakina Ko Baap Ka Sar
Raza O Zeeshan Thi Qayamat
Kaha Sakina Ny Jab Lipat Kar
Naseeb Kya Ho Gaya Hamara
Hai Mery Seeny Py Sar Tumhara
Ghareeb Ka Yeh Ghareeb Sar Hai
Jo Dar Badar Hai
Urdu Lyrics
Ghareeb Ka Ghareeb Sar Lyrics Urdu by Syed Raza Abbas Zaidi
یا حسین
کبھی یہ شیریں کے گھر ملا ہے
کبھی یہ راہب کے گھر ملا ہے
کبھی شجر پہ رسن سے بندھا
کبھی یہ صندوق میں رکھا ہے
نہ جانے اس کا سفر ہے کیسا
نہیں ہے مظلوم کوئی ایسا
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
ہے ریش جس کی لہو میں ڈوبی
رگیں بھی سوکھی ہوئی ہیں جس کی
بھری ہے ظلفوں میں خاک ہائے
کٹے ہیں لب اور جبیں ہے زخمی
عیاں ہیں چہرے سے غم بلا کے
ہو جیسے مارا رلا رلا کے
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
چلا تھا جس وقت اس پہ خنجر
تھا گود میں فاطمہ کی یہ سر
کھڑی تھی ستر قدم پہ زینب
گرا یا سر جب زمیں پہ کٹ کر
اٹھایا ظلفوں سے شمر نے سر
ٹپک رہا تھا لہو زمیں پر
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
سوار نوک سناں پہ ہو کر
چلا ہے کربوبلا سے یہ سر
نظر ہے اکبر کے سر کی جانب
عجیب غربت کا ہے یہ منظر
کرے یہ اکبر سے جب بھی باتیں
تو خون روتی ہیں اس کی آنکھیں
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
نظر پڑے جب بہن کے سر پر
پکارے عباس کو تڑپ کر
تمانچے جب بھی سکینہ کھائے
زمیں پہ گر جائے ہائے یہ سر
کوئی جو عابد پہ ظلم ڈھائے
پکارے نیزے سے ہائے ہائے
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
گری تھی ناقے سے جب سکینہ
وہیں یہ سر بھی ٹھہر گیا تھا
نظر نہ آئی جب اس کو بیٹی
تڑپ کے زینب کی سمت دیکھا
کہا یہ زینب سے جلد جاؤ
میری سکینہ کو ڈھونڈ لاؤ
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
یہ سر جو خولی کے ہاتھ آیا
عجیب ظالم نے ظلم ڈھایا
گھر اس کے زہرا تڑپ کے پہنچیں
جب اس نے تندور میں چھپایا
کئے جو زہرا نے بین رو کر
تڑپ رہا تھا حسین کا سر
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
ستم یہ دربار میں ہوا تھا
غریب سر طشت میں رکھا تھا
یزید دندان شاہ دیں پر
چھڑی کو ہنس ہنس کے مارتا تھا
سکینہ عابد کو دیکھتی تھی
پدر کی غربت پہ رو رہی تھی
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے
ہے شام کی قید کا یہ منظر
ملا سکینہ کو باپ کا سر
رضا و ذیشان تھی قیامت
کہا سکینہ نے جب لپٹ کر
نصیب کیا ہو گیا ہمارا
ہے میرے سینے پہ سر تمہارا
غریب کا یہ غریب سر ہے
جو در بدر ہے