Khairilamal

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karen Gy Lyrics Ali Safdar Noha 2016

Reciter: Ali Safdar
Recitation Type: Noha
Year: 2016

Urdu Noha Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karen Gy Lyrics in English and Urdu recited by Ali Safdar. Find out more noha lyrics by Ali Safdar similar to lyrics of Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karen Gy on Khairilamal.

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karen Gy Lyrics in English

Azadar E Hussain Azadar E Hussain
Azadar E Hussain Azadar E Hussain

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Kya Khoob Wo Ansaar E Hussain Ibn E Ali Thy
Maqtal Mein Bhi Ghum Khuwaar E Hussain Ibn E Ali Thy
Mehshar Mein Who Marnay Ki Ada Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Abbas Tera Naam Hai Haider Ka Hasham Hai
Behty Huye Pani Py Garha Tera Alam Hai
Sab Ahl E Jafa Teri Fughaan Yaad Karaain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Jab Ahl E Jafa Chorh K Bhagain Gay Taraai
Bholen Gay Na Abbas E Jari Ki Who Larhai
Pyasay Ka Who Mashkeeza Bhara Yaad Karain Gy
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Juz Farsh E Aza Rait Ki Dewaar Yeh Duniya
Jab Chorh Ky Jayen Gy Azadar Yeh Duniya
Jannat Mein Bhi Who Karb O Bala Yaad Karen Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Jo Yad Nahi Kartay Gham E Karb O Bala Ko
Suntay Nahi Jo Loag Sheh E Deen Ki Sada Ko
Un Logo Ko Kya Sher E Khuda Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Mil Jaye Gi Har Cheez Hamain Khuld E Bareen Sy
Ho Gi Na Kisi Shay Ki Kami Bait E Haseen Mein
Majlis Ky Tabarruk Ka Maza Yaad Karen Gy
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Jb Matam E Shabbier Koi Khul K Kary Ga
Ik Dard E Aqeedat Naya Seenay Sy Uthay Ga
Hum Behr E Shifa Khaak E Shifa Yaad Karen Gy
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Haq Hai Ky Sar E Farsh E Aza Ye Keh Dain
Ik Ashk K Badlay Jog Aye Khuld E Bareen Mein
Wo Fatima Zahra Ki Dua Yaad Karen Gy
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Har Naqsh Ka Mitna Hai Behar Haal Mitay Ga
Safdar Ki Zubaan Par Yehi Paigham Rahy Ga
Aasi Hai Yehi Amr E Khuda Yaad Karain Gy
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Hum Ahl E Aza Karb O Bala Yaad Karain Gay
Shabbir Ky Khaimay Ka Diya Yaad Karen Gay

Azadar E Hussain Azadar E Hussain
Azadar E Hussain Azadar E Hussain

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *