Reciter: Mir Hasan Mir
Abbas Abbas Abbas Abbas
Sarwar Ky Alamdar
Zainab Ky Wafadar
Ya Sani E Karrar
Sardaron Ky Sardar
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Woh Batayen Gy Hamen Kya Hai Wila E Abbas
Aao Shabbir Sy Sunty Hain Sana E Abbas
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Surah E Qadr Ky Pardy Mein Pala Hai Abbas
Surah E Hamd Ki Goudi Mein Raha Ahi Abbas
Aal E Emran Ky Aangan Mein Chal Ahai Abbas
Dil E Yaseen Dharahny Ki Sada Hai Abbas
Bey Ky Nukty Sy Jo Wan Nas Talak Jaye Ga
Sary Quran Mein Abbas Nazar Aye Ga
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Jis Ko Aandhi Kahy Toofan Woh Mera Ghazi Hai
Jis Ky Khadim Hain Suleiman Woh Mera Ghazi Hai
Maot Hai Jis Sy Pareshan Woh Mera Ghazi Hai
Jis Mein Shabbir Ki Hai Jaan Woh Mera Ghazi Hai
Is Ki Azmat Ki To Zainab Ny Qasam Khai Hai
Fatima Zahra Ka Beta Hai Mera Bhai Hai
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Apny Pehloo Mein Hamesha Sy Bithaya Main Ny
Mujh Ko Zahra Ny Isy Jhoola Jhulaya Mainy
Farz Nana Ki Tarha Apna Nibhaya Mainy
Is Ko Kandhon Py Kai Bar Bithaya Main Ny
Sab Yeh Kehty Hain Samaan Khoob Bana Rakha Hai
Dekh Lo Chand Ny Sooraj Ko Utha Rakha Hai
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Apny Mabood Ki Masoom Gawahi Abbas
Chalti Phirti Hui Shamsheer E Elahi Abbas
Dushman E Aal E Muhammad Ki Tabahi Abbas
Lashkar E Fatima Zahra Ka Sipahi Abbas
Kufr Ko Ishq Ka Kaaba Nahi Dhany Dy Ga
Yeh Wilayat Py Koi Aanch Na Any Dy Ga
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Is Ki Har Aik Sifat Hai Mery Baba Jaisi
Woh Sakhi Yeh Bhi Sakhi Woh Bhi Wali Yeh Bhi Wali
Farq Allah Ny Hum Dono Mein Rakha Hai Yehi
Main Muhammad Ka Muhammad Yeh Ali Ka Hai Ali
Karbala Mein Shab E Hijrat Ka Jo Manzar Hota
Mery Bistar Py Bhi Abbas E Dilawar Sota
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Mas’ala Is K Liye Sirf Meri Chah Ka Hai
Faoj Ki Fikr Na Khatra Isy Jang Aah Ka Hai
Ghat Par Pehra Agar Lashkar Roobah Ka Hai
Zor Ghazi Ki Kalai Mein Yadullah Ka Hai
Sirf Naizey Sy Agar Hath Mila Ly Abbas
Nehr Kya Chez Hai Sooraj Ko Utha Ly Abbas
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Kitny Lakhon Ka Hai Yeh Lashkar E Shar Kya Matlab
Samny Shair Ky Yeh Teer O Tabar Kya Matlab
Ainullah Ki Ankhon Mein Ho Dar Kya Matlab
Is Ky Hoty Huye Khaimon Py Nazar Kya Matlab
Khelta Aya Hai Gehwary Mein Yeh Teer Ky Sath
Bachpana Kata Hai Abbas Ny Shamsheer Ky Sath
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Dast E Zahra Ka Tarasha Hua Almas Hai Yeh
Khandan E Bani Hashim K Liye Aas Hai Yeh
Karbala Jis Py Hai Tehreer Woh Qirtas Hai Yeh
Shair Jis Shair Sy Darty Hain Woh Abbas Hai Yeh
Jab Mera Shair E Jawan Ran Mein Biphar Jata Hai
Zindagi Kya Malak Al Maot Bhi Dar Jata Hai
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Milti Julti Mery Baba Sy Hai Soorat Is Ki
Hai Dil E Sani E Zahra Py Hakoomat Is Ki
Pooch Lo Malik E Ashtar Sy Shuja’at Is Ki
Aik Jumly Mein Sunaun Main Fazeelat Is Ki
Marwa E Samajh O Soch O Dil O Aqal Hai Yeh
Kya Fazail Hon Bayan Khud Hi Aba Al Fazl Hai Yeh
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Gard E Khamosh Sitam Garon Ki Sari Barh Barh
Taigh Bijli Ki Tarha Is Ki Jo Chamky Kharh Kharh
Sar Giry Khak Py Oolon Ki Tarha Sy Tarh Tarh
Moon Dozakh Ki Taraf Hank Dy Sara Raiwarh
Nehr Tak Sham Ky Lashkar Ky Giry Dy Lashy
Na Ho Chalny Ki Jaga Itny Bicha Dy Lashy
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Koi Ghazi Sa Wafadar Nahi Ho Sakta
Is Sy Acha Koi Mayaar Nahi Ho Sakta
Is Sy Barh Koi Haqdaar Nahi Ho Sakta
Ab Koi Aur Alamdar Nahi Ho Sakta
Jab Sar E Hashr Alam Ly Ky Nikalna Ho Ga
Is Ky Peechy To Rasoolon Ko Bhi Chalna Ho Ga
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Chat Py Kaaby Ki Woh Khutba Diya Hairan Thy Malak
Waqt Thehra Hua Khamosh Thy Sab Arsh Talak
Roab Aisa Tha Jhapakti Na Thi Logon Ki Palak
Sahib E Mimbar E Koofa Ki Nazar Aai Jhalak
Sab Py Asrar E Jahan Khol Rhy Hon Jaisy
Aisa Lagta Tha Ali Bol Rahy Hon Jaisy
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Allah Allah Ajab Tarha Sy Yeh Biphra Tha
Mainy Zainab Ki Qasam Dy Ky Isy Roka Tha
Warna Lashkar To Usi Roz Tah O Bala Tha
Is Ny Jab Ghaiz Mein Shamsheer Sy Khat Khaincha Tha
Us Ki Haibat Ka Yeh Alam Hai Keh Darti Hai Hawa
Ab Bhi Do Hisson Mein Us Khat Sy Guzarti Hai Hawa
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Yad Hai Mujh Ko Woh Siffeen Ka Sara Manzar
Fakhr Sy Sar Thy Uthaye Huye Baba Haider
Dy Ky Ghazi Ko Dua Kehty Thy Bhai Shabar
Tum Ny Dushman Sy Bhi Karwa Diya Haider Haider
Haider Haider
Fatha Aisi Thi Keh Har Fatima Zada Khush Tha
Khun Mein Siffeen Mein Ghazi Sy Zyada Khush Tha
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana
Khul Ky Yeh Bazo E Shabbir Larhy Ga Ek Din
Yani Mehzar Mein Hai Tehreer Larhy Ga Ek Din
Ban Ky Wal Fatha Ki Tafseer Larhy Ga Ek Din
Ay Takallum Yeh Mahaveer Larhy Ga Ek Din
Jab Isy Taigh Chalany Ki Ijazat Ho Gi
Aur Phir Kuch Bhi Nahi Ho Gi Qayamat Ho Gi
Suno Shabbir Sy Ghazi Ki Sana