Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Allahuma Inna La Nahlamo Minho Illa Khaira
Khamosh Basti Ujarh Marqad Udas Kutba Suna Raha Hai
Yeh Kon Hai Maot Ko Bhi Jisnay
Pacharh Kar Apni Zindagi Ka
Koi Taaruf Nahi Diya Hai
Woh Jis Nay Zehra Ki Pak Turbat
Ki Khak Say Yeh Ehad Kiya Hai
Ghareeb Madar Ke Misl Marqad
Mera Sada Bey Nishan Rahay Ga
Kisi Ghanay Pairh Ka Kabhi Bhi
Lehad Pay Saya Nahi Parhay Ga
Bayad E Maula Hussain Duniya
Say Jis Nay Apnay Badan Ki Khatir
Kafan Gawara Nahi Kiya Tha
Zamanay Bhar Say Churha Kay Daman
Hussaini Rastay Pay Chalnay Walay
Nisab E Karbobala Say Moti
Wafa O Nusrat Kay Chun’nay Walay
Imam E Doran Ki Har Sada Pay
Tarhap Ke Labbaik Kehnay Walay
Kabhi Wilayat Ke Dushmanon Mein
Bator E Mesum Ke Jeenay Walay
Kullona Abbasuki Ya Zainab
Jinhon Nay Bint E Ali Ke Rozay
Ki Simt Atay Tamam Pathar
Khud Apnay Seenon Pay Seh Liye Thay
Tamam Waday Wafa Kiye Thay
Woh Qaom O Millat Ke Dard Saray
Sumoye Dill Mein Nagar Nagar Khar Khar
Raston Pe Chaltay Chaltay
Nahi Thakay Thay
Kabhi Bhi Taghoot Ke Muqabil
Nahi Jhukay Thay
Akelay Ran Mein Datay Huye Thay
Aza Ki Khatir Kata Key Gardan
Hamaray Hathon Mein Day Kay Parcham
Pakarh Ke Ungli Chala Rahay Hain
Faraj Ke Rasta Dikha Rahay Hain
Hamari Ghaflat Keh In Ke Ehsan
Kitni Jaldi Bhula Diye Hain
Aur Hath In Say Churha Rahay Hain
Lahoo Ka Haq Gar Adaa Jo Hota
Ghilaf E Kaaba Say Lag Ke Mehdi
Akela Mehw E Buka Na Hota
Hamari Ghaflat Ka Shikwa Us Ke
Labon Ka Harf E Dua Na Hota
Hamari Nazron Mein Hai Jo Gumnaam
Un Ko Bibi To Janti Hain
Woh Maan Jo Fehrist Sab Shaheedon
Ki Apnay Hathon Say Likh Rahi Hain
Jabeen Pe Roomal Nam E Zahra
Ka Bandh Ke Ran Mein Bhaijti Hai
Shaheed E Gumnaam Ki Haqeeqat
Janab E Zahra Hi Janti Hain