Reciter: Farhan Ali Waris
Sakina
Mujraii Sham Ki Matami Fiza Mein
In Ashk Bar Ankhon Nay
Jo Pichlay Baras Daikha Tha
Ab Ky Baras To Na Tha
Na Woh Ashkbar Ankhen
Na Seena Kobi Mein Masroof Hath
Na Sada E Nala O Shaiban
Na Azadaron Ky Woh Qafilay
To In Khamosh Fizaon Mein
Aik Char Sala Mazlooma Masooma Qaidi Bachi
Kisay Bulaye Kisay Sada Day
Kisay Awaz Day Kis Say Faryad Karay
Siwaye Aik Hussain E Ghareeb Kay
Mujraii Sham Ki Fazaon Mein
Woh Qaidi Musafira Yateema Yehi To Kehti Ho Gi Na
Meray Baba Meray Baba
Kal Sakina Kay Ronay Par Pabandi Thi
Magar Main Khamosh Rahi Baba
Magar Aik Waqt Aya
Jab Yeh Azadar Meray Rozay Par Atay Thay
Mujhay Pursa Detay Thay
Mera Dill Behal Jata Tha Baba
Aaj In Sham Walon Nay
In Azadaron Ky Anay Par Bhi Pabandi Laga Di Baba
Sakina Phir Akeli Ho Gai Baba
Sakina Phir Akeli Ho Gai Baba
Mera Roza Hua Veeran
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akela Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akela Yahan
Zayeron Par Bhi Pabandiyan Hain Yahan
Zulm Ka Silsila Woh Ruka Hi Kahan
Meray Nalay Bhi Paband Hain
Ronay Walay Bhi Paband Hain
Hain Abhi Tak Wohi Sakhtiyan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Zakhm E Jigar Saray Bhar Jatay Thay
Pursa Daron Ky Jab Qafilay Atay Thay
Ly Ky Atay Thay Woh Baba Jan
Sath Jhoola Rida Baaliyan
Woh Azadar Hain Ab Kahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Sang Dil Sham Walay Na Janen Kabhi
Ek Yateema Ki Zindaan Mein Noha Gari
Chahnay Walay Sab Ja Chukay
Mujh Ko Zindaan Mein Chorh Kay
Sham Walon Ky Hi Darmiyan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Sham Hi Mein Hai Roza Phuphi Ka Magar
Baba Daikho To Hain Dooriyan Kis Qadar
Woh Wahan Apnay Gham Bhool Kay
Aai Thiin Sham Meray Liye
Woh Wahan Main Yahan Noha Khuwan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Kal Jo Tanhai Thi Aaj Bhi Hai Wohi
Kal Bhi Pehray Thay Faryad Par Aaj Bhi
Zakhm E Dill Ki Hai Bas Yeh Dawa
Aap Aa Jayen Ya Phir Chacha
Karti Rehti Hun Bas Yeh Fughan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Aap Ko Raat Din Yad Karti Hun Main
Aaj Bhi In Andhairon Say Darti Hun Main
Khaof Rehta Hai Aksar Mujhay
Shimr Maray Ga Aa Kar Mujhay
Kis Ko Dun Gi Sadayen Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Zayeron Ky Liye Rasta Khol Do
Fatiha Khuwan Marqad Py Koi To Ho
Pursadaron Ky Phir Karwan
Laye Farhan O Mazhar Yahan
Yeh Dua Hai Meri Baba Jan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan
Mera Roza Hua Veeran
Hai Sakina Akeli Yahan
Baba Jan
Hai Sakina Akeli Yahan