Reciter: Tejani Brothers

Hai shaam ka safar (Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

1. Neze pe ro raha hai ibne ali ka sar
(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

2. (Majma hai ashkiya ka sajad kehrahe hai) x2
Seyedaniyo ko lekar jawuga me kidher

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

3. (Barsaat patharo(n) ki hai kaydiyo(n) ke sar par) x2
Tar khu(n) se ho rahi hai zindaa(n) ki rehguzar

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

4. (Humsheer berida dekhenga kistarha se) x2
Rukhta nahi sina par abbas ka yu(n) sar

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

5. (Chadar nahi hai sarpe baalo(n) se mu(n) chhupaye) x2
Zehra ki betiya(n) hai raho(n) me nawhaghar

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

6. (Kufe ki shehzaadi qaydi bani huwi hai) x2
Mehboobe kibriya bhi rote hai arsh par

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

7. Bazu bandhe huwe hai sarpar rida nahi
Ay ummate muhammed kuchh to khuda se ddar

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

8. “Rehan” ye yaqi(n) hai jannat me jawunga
Shabbir ke sahare zainab ke naam par

(Zainab hai nange sar, hai shaam ka safar) x2 Zainab hai nange sar

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply