Reciter: Farhan Ali Waris
Woh Sadi Bhi Thi Gham E Hussain Ki
Yeh Sadi Bhi Hai Gham E Hussain Ki
Woh Sadi Bhi Thi Gham E Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Is Zameen O Aasman Ko Hai Fana
Chand Aur Kehkashan Ko Hai Fana
Aadmi Ki Dastan Ko Hai Fana
Zindagi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Jagta Hai Kiun Zameer E Admi
Yeh To Tu Ny Socha Hi Nahi Kabhi
Kiun Chaman Mein Hai Bahar E Zindagi
Tazgi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Fikr Hai Tujhy Azal Sy Bas Yehi
Na Masjidon Mein Majlisen Kary Koi
Khana E Khuda Libas E Matami
Aagahi Hai Bas Ghame Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Kibriya Ko Deen Ko Rasool Ko
Zindagi Mili Har Ek Usool Ko
Hai Salam Is Liye Batool Ko
Baat Ki Hai Bas Ghame Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki
Bhai Bhai Yun To Hain Sabhi Magar
Bat Gaye Hain Nafraton Mein Jaan Kar
Phailta Gaya Bughz Ka Shajar
Dushmani Hai Bas Gham E Hussain Ki
Har Sadi Hai Buss Ghame Hussain Ki
Yeh Sada Hai Dill Ki Mazhar Abidi
Fikr Ko Hayat E Jawidan Mili
Raat Din Mera Kaam Hai Yehi
Shayeri Hai Bas Ghame Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki