Khairilamal

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki Lyrics Farhan Ali Waris Noha 2000

Reciter: Farhan Ali Waris
Recitation Type: Noha
Year: 2000

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki Lyrics written in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Farhan Ali Waris in 2000. Find out more noha lyrics by Farhan Ali Waris similar to lyrics of Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki on Khairilamal.

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki Lyrics by Farhan Ali Waris in English text

Woh Sadi Bhi Thi Gham E Hussain Ki
Yeh Sadi Bhi Hai Gham E Hussain Ki
Woh Sadi Bhi Thi Gham E Hussain Ki
Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Is Zameen O Aasman Ko Hai Fana
Chand Aur Kehkashan Ko Hai Fana
Aadmi Ki Dastan Ko Hai Fana
Zindagi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Jagta Hai Kiun Zameer E Admi
Yeh To Tu Ny Socha Hi Nahi Kabhi
Kiun Chaman Mein Hai Bahar E Zindagi
Tazgi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Fikr Hai Tujhy Azal Sy Bas Yehi
Na Masjidon Mein Majlisen Kary Koi
Khana E Khuda Libas E Matami
Aagahi Hai Bas Ghame Hussain Ki

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Kibriya Ko Deen Ko Rasool Ko
Zindagi Mili Har Ek Usool Ko
Hai Salam Is Liye Batool Ko
Baat Ki Hai Bas Ghame Hussain Ki

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Bhai Bhai Yun To Hain Sabhi Magar
Bat Gaye Hain Nafraton Mein Jaan Kar
Phailta Gaya Bughz Ka Shajar
Dushmani Hai Bas Gham E Hussain Ki

Har Sadi Hai Buss Ghame Hussain Ki

Yeh Sada Hai Dill Ki Mazhar Abidi
Fikr Ko Hayat E Jawidan Mili
Raat Din Mera Kaam Hai Yehi
Shayeri Hai Bas Ghame Hussain Ki

Har Sadi Hai Bas Gham E Hussain Ki

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *