Reciter: Syed Zain Ali Zaidi
Ali Akbar Ali Akbar
Ali Akbar Ali Akbar
Husn Khud Jis Ky Dar Ka Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Jis Ka Chehra Rukh E Payambar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Rashk Ata Hai Jis Py Taron Ko
Rang Deta Hai Jo Baharon Ko
Woh Jo Khud Aasman Ka Jhoomar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Umme Laila Ky Dill Ka Chain Bhi Hai
Woh Karaar E Dill E Hussain Bhi Hai
Jis Sy Roshan Batool Ka Ghar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Aasmanon Mein Na Zameenon Mein
Aisa Koi Nahi Haseenon Mein
Jis Ky Qadmon Mein Husn Ka Sar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Nam Jis Ka Hai Sab Azanon Mein
Jis Ky Charchy Hain Aasmanon Mein
Jo Zameen K Liye Muqaddar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Muskuraye To Phool Khill Jayen
Jis Py Qurban Sab Ky Dill Jayen
Jis Ki Khushboo Bhi Ek Samandar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Maot Khud Jis Sy Zindagi Mangy
Aur Andhera Bhi Roshni Mangy
Jis Ky Sadqy Mein Sab Muyassar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Jo Tamanna Hai Qalb E Zainab Ki
Zain O Zeeshan Jo Hai Jaan Sab Ki
Hoo Bahoo Roab Mein Jo Haider Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai
Husn Khud Jis Ky Dar Ky Nokar Hai
Woh Haseen E Hussain Akbar Hai