Reciter: Tejani Brothers
Maula Maula Maula Maula
Laaj Hmari Rakhnay Walay Dar Py Hamen Bhi Tu Bulwa Lay
Hamen Bhi Dar Pay Bulana
Hussain Dill Na Torhna
Yeh Baat Theek Hai Maula Gunahgar Hain Hum
Magar Yeh Sachi Hai Tumharay To Soagwar Hain Hum
Khatayen Sari Bhulana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Dua Yeh Tum Say Hai Khul Jaye Jald Apna Naseeb
Kisi Tarah Say Pahunch Jayen Hum Tumharay Qareeb
Asar Duaon Mein Lana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Ghareeb Hum Hain Yeh Tum Say Duayen Kartay Hain
Tumharay Pas Mein Anay Ko Hum Tarastay Hain
Bas Apnay Pas Bulana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Ay Mola Door Zara Kar Do Ab To Yeh Ghurbat
Hamen Bhi Daikhni Hai Mola Ap Ki Turbat
Ho Karbala Mein Thikana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Na Maot Aaye Na Jab Tak Tumhara Dar Daikhen
Jo Lay Kay Khuld Mein Jata Hai Woh Safar Daikhen
Wahin Ho Apna Thikana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Karam Yeh Hum Pay Bhi Kar Do Hamen Sharaf Dey Do
Keh Sath Karbobala Kay Hamen Najaf Dey Do
Yeh Keh Raha Hai Deewana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Jo Karbala Ka Koi Waqiya Sunata Hai
Yeh Baat Keh Ky Mera Dil Karar Pata Hai
Mujhay Hai Karbala Jana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Ay Mola Taal Do Duniya Say Ab To Beemari
Shifa Jahan Ko Ata Kar Do Tum Py Hum Wari
Hamaray Dard Mitana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Faqat Yeh Arzoo Dil Main Liye Hai Ek Johar
Parhay Yeh Noha Bhi Tejani Aap Ky Dar Par
Yeh Khuwab Poora Karana Hussain Dill Na Torhna
Hamen Bhi Dar Pay Bulana Hussain Dil Na Torhna
Maula Maula Maula Maula
Laaj Hmari Rakhnay Walay Dar Py Hamen Bhi Tu Bulwa Lay