Reciter: Tejani Brothers

Ya laytanee kuntu ma’akum,
Fa afooza ma’akum
Wa la farraqallahu baynana
Wa salallahu alaykum

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Wo tera laqab hai sheh-e-mashraqayn, tera nana jaa(n) chalta quran hai
Wo madar tumhari hai khayrun-nisa, wo baba tera kulle imaan hai
Hai fakhr-e-rida haaye behna teri, hassan lawh-e-mehfuz ki jaan hai

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Ay shabbir ke matami sun zara, tu leta hai zahra ke dil ki dua
Ye khutbo(n) mei Zainab batati rahi, zamana karega humari azaa
Hai pursa ye zehra ke gham ke liye, hai zainab ki qurbani ka mojeza

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Hai uncha alam tere abbas ka, bicha hai tera farsh-e-gham har jaga
Bahate rahenge tere naam mei, lahu ka samandar habib-e-khuda
Har ik ashk mei hai likha ya Hussain, Hai pehchaan momin ka matam tera

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Juloosei(n) nikalte hai(n) rasto(n) mei aur, Ye duniya ko dikhlaatei(n) hai(n) tera gham
Kabhi aag par ho rahi hai aza, Ye khud dekhte hai julooso(n) mei ham,
Zamana ye karta hai kohshish magar, Kabhi sar jhukaata nahi hai alam

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Hai afsos ke zikr-e-aal-e-nabi, bari karobaar ab jahaa(n) mei bani
Wo kaise kahe khud ko zakir tera, hai payso(n) pe jinki nigaahei(n) pari
Nahi maantei(n) aise zakir ko ham, jihei(n) kuch khabar bhi nahi shaa(n) teri

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Chalo sab azadaar karbobala, karenge wahaa(n) raat din ham aza
Wahi(n) sar zamee(n) pe jahaa(n) par hussain, ka be sar badan reyt par tha para
Jaha par bujha sheh ka har ik diya, jaha par chhini bibiyo(n) ki rida

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Kyu(n) khof-e-ajal se pareshaa(n) huwe, hai nisbat juri ab to Shabbir se
Hai matam bapa aaj har aan mei, Kabhi haath se aur zanjeer se,
Hai zainab ki sunnat aza-e-hussain, mila hai hamme teri hamsheer se

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Ye matam se milta hai hamko khuda, Ye matam hai khud sunnat-e-ambhiya
Ye matam har ik marz ki hai dawa, ye matam hattata hai har ik bala
Ye matam hai shaytaaniyat ki qaza, ye matam hai sab momino(n) ki baqa

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Haaye kal the Zainab ke bazu bandhe, na kar paayi matam shaheedo(n) ka tab
Meri shaahzadi aza-e-hussain, “Tejani” bapa karte hai aaj sab
Ye baqi rahegi sada nasl mei, lahu mei mila hai tera naam ab

Hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply