Khairilamal

Ibn E Payambar Alwida Lyrics Dasta E Imamia Noha 2021

Reciter: Dasta e Imamia
Recitation Type: Noha
Year: 2021

Ibn E Payambar Alwida Lyrics written in urdu and english text recited by noha khuwan Atir Haider of Dasta E Imamia in 2021. View and download Dasta e Imamia noha lyrics similar to lyrics of Ibn E Payambar Alwida on Khairilamal.

Ibn E Payambar Alwida Lyrics by Dasta E Imamia in english text

Jab Qaid Sy Ho Kar Riha
Bint E Janab E Fatima
Pahunchiin Sar E Karbobala
Naqay Sy Gir Kar Yeh Kaha

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Bhaiya Amaanat Main Teri
Hum Raah Na Apny Laa Saki
Teri Sakina Jaan Ko
Zindaan Mein Mainy Kho Diya

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Tareekiye E Zindan Thi
Nanhi Si Us Ki Jan Thi
Bhaiya Andheri Qaid Mein
Masoom Ka Dam Ghut Gaya

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Qabr E Rasool E Pak Par
Peetun Gi Ja Kar Apna Sar
Bhaiya Dikhaun Gi Unhen
Main Khoon Bhara Kurta Tera

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Ro Kar Kahun Gi Nana Jan
Asghar Tha Mera Bay Zaban
Pani Kay Badlay Teer Say
Chaida Gaya Us Ka Gala

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Tha Woh Qayamat Ka Samaaan
Nana Karun Kiun Kar Bayan
Pamal Faoj E Sham Ny
Qasim Ka Jab Lasha Kiya

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Aon O Muhammad Bhi Meray
Mamoon Py Qurban Ho Gaye
Mainy Na Un Ki Lash Par
Nana Kiya Aah O Buka

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Muslim Bhi Aur Un Ky Pisar
Maray Gaye Haq Baat Par
Koofay Ky Dar Par Teen Din
Muslim Ka Sar Latka Raha

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Athaara Saalon Ki Meri
Nana Kamai Lut Gai
Main Hath Mal Kar Reh Gai
Akbar Ky Jab Naiza Laga

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Ghayel Tha Ek Mehshar Wahan
Kaabay Zameen O Aasman
Tharra Gai Qabr E Nabi
Zainab Ny Jab Ro Kar Kaha

Ibn E Payambar Alwida
Zahra Kay Dilbar Alwida

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *