Reciter: Ali Shanawar

Ali Ali Ali Ali Akbaram

Rahat E Jaan Wird E Zabaan Saot E Azaan Jan Ali Akbaram

Jan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Aey Gul E Laila Ali Jan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar Naujawan Ali

Aey Dil O Jan E Pidar Shakl E Payambar Akbar
Aey Karar E Dil E Zainab Gul E Madar Akbar
Misl E Abbas E Jari Shair E Dilawar Akbar
Yousuf E Fatima Zehra Dil E Haider Akbar
Husn E Zaman Akbar Aijaz E Chaman Akbar
Aey Husn E Zaman Akbar Aijaz E Chaman Akbar
Aey Gul E Laila Ali Jan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar Naujawan Ali

Maula Shabbir Nay Manga Hai Duaon Mein Tumhen
Ghazi Abbas Nay Rakha Hai Panahon Mein Tumhen
Mil Ky Do Maaon Nay Pala Hai Ridaon Mein Tumhen
Rabb E Akbar Nay Rakha Hai Noor E Hijabon Mein Tumhen
Naaz E Dil E Sarwar Aey Shabeeh E Payghambar
Aey Naaz E Dil E Sarwar Aey Shabeeh E Payghambar
Aey Gul E Laila Ali Jan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Rahat E Jan Wird E Zabaan Saot E Azaan Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Boliin Laila Keh Galay Mujh Ko Lagatay Jao
Boliin Zainab Mujhay Soorat To Dikhatay Jao
Bolay Shabbir Meri Aas Bandhatay Jao
Mujh Ko Nana Ki Ziyarat To Karatay Jao
Haye Lahoo Mein Tarr Hum Soorat E Payghambar
Haye Haye Lahoo Mein Tarr Hum Soorat E Payghambar
Aey Gul E Laila Ali Jan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar Naujawan Ali

Kaisay Maqtal Tumhen Janay Ki Ijazat Dey Dun
Kaisay Khaimay Say Nikalnay Ki Ijazat Dey Dun
Kaisay Is Pyaas Mein Larhnay Ki Ijazat Dey Dun
Maan Hun Kaisay Tumhen Marnay Ki Ijazat Dey Dun
Jan E Dil E Madar Yeh Maan Ho Fida Tum Par
Aey Jan E Dil E Madar Yeh Maan Ho Fida Tum Par
Aey Gul E Laila Ali Jan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Rahat E Jan Wird E Zabaan Saot E Azaan Jaan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Haye
Kha Ky Seeney Pay Sinaan Zeen Say Akbar Jo Gira
Ho Gaya Khaimon Mein Kohram Bapa Wawaila
Yeh Sada Dasht Mein Deta Tha Ghareeb E Zahra
Haye Akbar Mera Akbar Mera Akbar Na Raha
Khoon E Nazar Akbar Aijaz E Pidar Akbar
Aey Khoon E Nazar Akbar Aijaz E Pidar Akbar
Aey Gul E Laila Ali Jan Ali Akbaram

Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar

Naujawan Ali Akbar Naujawan Ali

Rahat E Jan Wird E Zabaan Saot E Azaan Jaan Ali Akbaram

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply