Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Baba Ujarh Gai Zainab

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Karbala Mein Ghareeb Zainab Par
Haye Kaisa Sitam Hua Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Kal Madinay Say Aai Thi Zainab
Bhai Baiton Ky Sath Karbal Mein
Ro Rahi Hai Haya Ki Shehzadi
Aaj Ahl E Sitam Ky Narghay Mein
Aur Labon Par Yehi Duhai Hai
Haye Ghar Lutt Gaya Mera Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Meray Abbas Ky Katay Bazu
Jis Gharhi Alqama Kay Sahil Par
Jal Gaye Khaimay Chin Gai Chadar
Lutt Gaya Ghar Sitam Huye Hum Par
Ab Woh Ghazi Bhi Na Raha Mera
Jo Tha Mushkil Mein Aasra Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Baba Apni Abaa Kay Saye Mein
Tum Nay Jis Ladlay Ko Pala Tha
Us Ka Bey Sar Sitam Zada Lasha
Karbala Ki Zameen Pay Hai Rakha
Meray Bhai Hussain Ko Ban Mein
Ek Kafan Tak Bhi Na Mila Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Baba Jo Tha Shabeeh Nana Ki
Us Ky Seenay Mein Hai Sinaan Tooti
Us Nay Torha Wahan Pay Damm Baba
Aur Meri Kamar Yahan Tooti
Mera Akbar Bhi Dasht E Ghurbat Mein
Dagh Furqat Ka Day Gya Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Jo Meray Aon Aur Muhammad Thay
Dasht Mein In Ky Hain Parhay Lashay
Na Main Pani Pila Saki Un Ko
Aur Duniya Say Woh Gaye Pyasay
Ta Qayamat Tumhari Zainab Ko
Ab Yehi Gham Rulaye Ga Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Meray Sar Say Chini Thi Jab Chadar
Aur Daman Jala Sakina Ka
Mainay Ro Kar Bahut Sadayen Diin
Mera Ghazi Magar Nahi Aaya
Meri Faryad Sun Ky Maqtal Mein
Us Ka Lasha Tarhap Gaya Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Kaisa Manzar Sahab Tha Gham Ka
Jis Ko Farhan Parh Nahi Paya
Sham E Ghurbat Mein Amad E Haider
Ek Qayamat Haram Mein Thi Barpa
Baap Ko Daikh Kar Giri Zainab
Khak Par Aur Yehi Kaha Baba
Mera Ko Nahi Raha Baba

Jo Muhafiz Tha Meray Parday Ka
Ab Woh Ghazi Nahi Raha Baba
Mera Koi Nahi Raha Baba

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply