Reciter: Tejani Brothers
Haaye Zindaan, Haaye Veeraan
Haye Zindaan, Haye Weeran
Haye Zindan, Haye Weeraan
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Tere Laashe Ki Jo Haalat Hai Wo Dekhu(N) Kaise
Ye Nishaa(N) Neeley Jo Tan Pe Hai Bhulaau(N) Kaise
Teri Furqat Ka Gham Samau(N) Apne Dil Mei
Qalb Ye Mera, Phat Jaaye Kahi Na
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Apne Sine Se Lagakar Haaye Baba Ka Sar
Apne Gham Saare Sunaaye Use Tune Rokar
Band Ahista Hone Lagi Thi(N) Teri Aankhei(N)
Aysi Neend Aayi Tu Phir Se Uthi Na
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Mei(N) Tujhe Chordu Kaise Hai Andhera Zindaan
Na Yahaa(N) Roshni Aye Na Koi Bhi Insaan
Tishnalab Soti Ho, Yahaa(N) Qayd Mei Beti
Mujhe Phir Aaj Se, Paani Nahi Pina
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Tujhko Kho Kar Rehpaaye Kaise Dukhiya Maadar
Tum Nahi Paas Mere Paas Nahi Hai Asghar
Ab Ghar Jaaye Kaise, Karey Kya Teri Amma
Bin Tere Beti, Dushwaar Hai Jeena
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Ye Jo Kurta Hai Jalaa Aur Tera Zakhmi Hai Badan
Taziyaanei(N) Se Huwa Neela Tera Saara Tan
Itne Gham Jhele Hai, Nahi Mujhko Gawara
Zakhmo(N) Se Surkh Hai Tumhara Pasina
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Tha Yahi Khwaab Tumhara Ke Chalenge Ham Gar
Dekho Ab Khulgaya Beti Yahi Zindaa(N) Ke Dar
Saare Gham Ammu Ko, Bataana Meri Dukhiyaa
Na Milega Yahaa(N) Ab Baba Ka Sina
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Tujhe Sine Pe Sulati Rahi Baba Ke Baad
Maut Tak Teri Phuphi Ko Ayegi Teri Yaad
Kaise Wapas Jaye, Wo Phir Karbobala Ko
Rehgayi Qayd Mei Ghazi Ka Nagina
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Ay Hawaao(N) Meri Bachi Ko Sunaana Lori
Kardiya Tere Hawaale Maine Apni Beti
Rakhna Ay Zindaa(N) Tu, Khayaal Aaj Se Uska
Mei(N) Usse Chor Ke Jaati Hu(N) Madina
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na
Ay “Tejani” Ye Sada Thi Ghamzada Maadar Ki
Aaj Ke Baad Na Phir Saaye Mei Mei(N) Jaaungi
Dhoop Mei Sota Hai Jo, Mera Nanna Sa Asghar
Har Gardi Roungi, Bichri Jo Hazeena
Kaise Dafnaaungi Tujhe Meri Sakina,
Zindagi Bhar Phir Dekhungi Kabhi Na
Haay Zindagi Bhar Phir, Dekhungi Kabhi Na