Reciter: Nadeem Sarwar
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Bhai Ko Kabhi Bhai Nahi Keh Ky Pukara
Jab Waqt E Museebat Hua To Jan Ko Wara
Kis Darjay Wafadar Hai
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Qasim Bhi Sidharay Ali Akbar Gaye Maray
Ansaar Na Baqi Hain Na Zainab Kay Dularay
Baqi Nahi Ghum Khuwar Hain
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Ghairay Huye Har Simt Say Hai Lashkar E Keena
Teeron Say Badan Chalni Hai Dushwar Hai Jeena
Tanha Shah E Abrar Hain
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Thamay Huye Kooza Dar E Khaimay Pay Kharhi Hai
Kehti Hai Chacha Aaiye Mushkil Ki Gharhi Hai
Ab Zindagi Dushwar Hai
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Shabbir Ki Gardan Pay Chala Zulm Ka Khanjar
Asbab Bhi Sab Lut Gaya Aur …….
Ghash Mein Parha Beemar Hai
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Zalim Nay Gohar Cheen Ky Kaanon Say Utaray
Bin Baap Ki Bachi Ko Tamanchay Kai Maray
Koi Na Madadgaar Hai
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Ek Dard E Jafa Dhatay Hain ….. Sitamgar
Ammu Say Koi Keh Day Meray Ja Kay Nehar Par
Nusrat Ki Talabgaar Hai
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Kis Darja Tumhen Dhyan Tha Parday Ka Biradar
Sar Par Nahi Hai Zainab O Kulsoom Ky Chadar
Aur Sham Ka Bazar Hai
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Hai Waqt E Madad Ao …… Shah E Dilgeer
Mehdood Na Ho Jaye Azadari E Shabbir
Mushkil Mein Azadar Hain
Saqqa E Sakina
Abbas Abbas
Lashkar Ka Alamdar Hai Saqqa E Sakina
Abbas Abbas