Reciter: Mir Hasan Mir
Sakina Sakina
Main Aa Raha Hoon Sakina
Hai Bas Khatam Hony Ko Har Imtehan
Koi Ghaib Sy Dy Raha Hai Sada
Main Aa Raha Hoon Sakina
Nigahon Mein Meri Hai Ab Tak Woh Lamhy
Rihai Haram Ko Mili Jis Tarah Sy
Aseeron Ko Abid Gaye Le Ky Jaisy
Tujhy Bhi Churha Kar Main Zindaan Sy
Bahut Jald Ly Jaun Ga Karbala
Main Aa Raha Hoon Sakina
Azadari Hoti Thi Ghurbat Py Teri
Tery Dill Ko Hoti Thi Kitni Tasalli
Magar Ab Na Matam Na Majlis Hai Koi
Tery Pas Tanhaiian Reh Gaiin
Raha Ab Na Koi Tera Aasra
Main Aa Raha Hoon Sakina
Lahoo Ban Gaya Kaisy Ankhon Ka Pani
Hui Qatl Abid Ki Kaisy Jawani
Sunun Ga Main Bazar Teri Zubani
Karun Ga Main Khud Sath Giriya Tery
Na Ro Shahzadi Thehar Ja Zara
Main Aa Raha Hoon Sakina
Tujhy Ab Na Pardais Koi Kahy Ga
Watan Ly Ky Tujh Ko Yeh Mehdi Chaly Ga
Madina Watan Tha Madina Rahy Ga
Tarhapti Hai Milny Ko Bemar Sy
Mila Dun Ga Sughra Sy Wada Mera
Main Aa Raha Hoon Sakina
Nishan Hain Ay Bibi Jo Rukh Par Tumhary
Hain Wesy Hi Kuch Dagh Dill Par Hamary
Nazar Mein Hamari Yeh Manzar Hain Sary
Baqaiiyya Tha Samarra Karbobala
Chukany Ko Badla Har Ek Zulm Ka
Main Aa Raha Hoon Sakina
Palat Kar Na Aaya Jo Dariya Sy Ghazi
Kisi Sy Bhi Tu Ny Na Phir Manga Pani
Meri Choti Zahra Tu Kab Sy Hai Pyasi
Bhujany Ko Sadiyon Ki Tashna Labi
Tery Pas Khud Ban Ky Saqqa Tera
Main Aa Raha Hoon Sakina
Takallum Woh Kehta Yeh Ho Ga Tarhap Kar
Main Yasrab Sy Takta Hun Khud Taigh E Haider
Teri Al Ajal Ki Sadaon Ko Sun Kar
Usi Tarha Ata Hai Labb Par Mery
Katy Sar Ny Tha Jis Tarha Sy Kaha
Main Aa Raha Hoon Sakina