Reciter: Farhan Ali Waris

Main Hi Taskeen E Lab E Tishna Dahan Hota Hun
Kabhi Dariya Kabhi Ankhon Say Rawaan Hota Hun
Hai Lab E Asghar E Bey Sheer Ka Ehsaan Mujh Par
Ho Jahan Majlis E Shabbir Wahan Hota Hun

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Zindagi Jis Say Rawan Hai Woh Rawani Main Hun
Pyaas Ko Jis Say Hai Nisbat Woh Kahani Main Hun
Bey Talab Hun Talab E Tishna Dahani Main Hun
Do Hawaon Ka Murakab Hun Main Pani Main Hun
Jab Yeh Abadi Na Thi Tab Say Hi Abad Hun Main
Khud Hi Quran Gawah Duniya Ki Bunyad Hun Main

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Rahi Har Daor Mein Masoomon Say Nisbat Mujh Ko
Kar Na Paya Koi Paband E Shariyat Mujh Ko
Pak Hun Aur Taharat Say Hai Ulfat Mujh Ko
Khud Sada Deti Rahi Pyaas Mein Fitrat Mujh Ko
Dard E Dill K Liye Taskeen Ka Marham Ban Kar
Paaye Masoom Say Nikla Hun Main Zam Zam Ban Kar

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Meray Qissay Hain Bahut Meri Kahani Hai Bahut
Barsar E Rooye Zameen Meri Nishani Hai Bahut
Sarkashi Meri Bahut Meri Rawani Hai Bahut
Khitta E Khushk Hai Kam Dehr Mein Pani Hai Bahut
Rabb E Akbar Nay Barha Martaba Bakhsha Hai Mujhay
Syeda Ky Jo Haq E Mehr Mein Rakha Hai Mujhay

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Main Wazu Ban Ky Namazon Ki Adaa Tak Pahuncha
Ban Ky Zam Zam Kabhi Kaabay Ki Fazaa Tak Pahuncha
Main Tha Pakeeza So Mairaj E Wila Tak Pahuncha
Yehi Nisbat Thi Jo Main Karbobala Tak Pahuncha
Do Muharram Ko Alag Hi Thay Nazaray Meray
Utray Aflaak Ky Maalik Jo Kanaaray Meray

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Roz E Ashoor Main Ek Aur Hi Duniya Mein Raha
Ashk Ban Kar Nigah E Sayeda Zehra Mein Raha
Roshni Ban Kay Kahin Deeda E Beena Mein Raha
Aoj E Kosain Mila Mashk E Sakina Mein Raha
Sar E Maidan E Fighan Mojza Dikhlata Main
Hukm E Sheh Hota To Khaimon Mein Chala Aata Main

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Roo Baroo Meray Bey Misl O Misaali Chehra
Chehra Hazrat E Abbas Woh Aali Chehra
Hashmi Chand Ka Chehra Tha Jamali Chehra
Mainay Daikha Tha Jo Ghazi Ka Jalaali Chehra
Khaof Tab Say Hi Meray Dill Say Jurha Rehta Hai
Bas Usi Din Say Mera Rang Urha Rehta Hai

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Aaya Jab Sani E Karaar Kanaaray Meray
Aoj Par Pahunchay Muqaddar Ky Sitaray Meray
Mashk Mein Janay Ko Bey Taab Thay Dharay Meray
Sadqay Khud Pyaas Nay Aa Aa Ky Utaray Meray
Roz E Ashoor Yeh Azmat Bhi Mili Hai Mujh Ko
Dast E Abbas Py Mairaj Hui Hai Mujh Ko

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Log Ab Majlis E Shabbir Mein Latay Hain Mujhay
Sadqa Shabbir Ka Pyason Ko Pilatay Hain Mujhay
Matami Shah Ky Ankhon Say Lagatay Hain Mujhay
Jab Azadar Sabeelon Mein Sajatay Hain Mujhay
Zakhm E Jaan Saray Hi Seenay Kay Liye Atay Hain
Anbiya Bhi Mujhay Peenay K Liye Atay Hain

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Yun Mujhay Sahib E Zeeshan Kiya Pyason Nay
Dill E Momin Ka Ek Armaan Kiya Pyaason Nay
Zaat Par Meri Hi Ehsaan Kiya Pyaason Nay
Apni Majlis Ka Jo Mehman Kiya Pyaason Nay
Mujh Mein Taseer E Dar E Karbobala Milti Hai
Mujh Ko Pee Len To Farishton Ko Shifa Milti Hai

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Kya Hai Azmat Meri Ay Duniya Zara Kar Insaaf
Dho Kay Kar Deta Hun Har Dagh E Nidamat Ko Main Saaf
Ek Ajab Kaam Yeh Karta Hun Main Fitrat Ky Khilaf
Turbat E Hazrat E Abbas Ka Karta Hun Tawaaf
Mujh Py Yun Saya Hai Ghazi Ki Alamdari Ka
Lazmi Hissa Hun Main Aaj Azadari Ka

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Dill Mein Ek Noor Ky Deedar Ki Hasrat Lay Kar
Hoon Rawan Noor Ali Main Yeh Taharat Ley Kar
Daikh Farhan Sharaf Ly Ky Sharafat Lay Kar
Main Hi Chalta Hun Areezon Ki Amaanat Lay Kar
Rashk Kiun Kar Na Karay Aoj E Suraiya Mujh Par
Barhwan Aa Ky Bichaye Ga Musalla Mujh Par

Main Hun Pani Suno Meri Kahani

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply