Reciter: Farhan Ali Waris
Hussain Hussain Hussain Bol Raha Hai
Bayat Ka Sawal Aaya Jo Paish E Shah E Dilgeer
Nazdeek Hui Khawab Say Jab Khawab Ki Tab
Lagnay Lagi Jab Daao Py Kull Nabiyon Ki Toqeer
Bolay Najis E Dehr Say Yun Hazrat E Shabbir
Gharat Kabhi Toheed O Risalat Na Karay Ga
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed E Azali Hun Main Hussain Ibne E Ali Hun
Tu Kon Hai Main Kon Hun Sun Ay Sitam Afgaar
Tu Deen Ka Munkir Hai Main Islam Ki Dastaar
Tu Khak Ka Putla Hai To Main Markaz E Anwaar
Tu Bhool Anaasir Ki Hai Main Khalq Ka Shahkaar
Gumm Karda Nasab Tu Hai To Main Raah E Khabar Hun
Marjana Ki Tu Bhool Main Zehra Ka Pisar Hun
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Tu Sham Ki Tareeki Hai Main Noor E Mubeen Hun
Tu Sang E Saqeefa Hai Main Kaabay Ka Nageen Hun
Tu Takht Py Baitah Hai To Main Arsh Nasheen Hun
Shaitan Ka Makaan Tu Hai Main Jannat Ka Makeen Hun
Tu Rijs Saraapa Hai Main Khaliq Ka Wali Hun
Tu Nasl E Umaiya Main Hussain Ibne Ali Hun
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Main Aala Tu Kamzaat Hai Yeh Bat Samajh Lay
Main Fatha Hun Tu Maat Hai Yeh Baat Samajh Lay
Yeh Bat Alag Bat Hai Yeh Baat Samajh Lay
Main Din Hun To Tu Raat Hai Yeh Baat Samajh Lay
Yeh Bat Samajh Lay Keh Main Tauheed Ki Jaan Hun
Tu Rizq Jahannum Ka Main Sardar E Jinaan Hun
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Hai Tera Najis Jism To Shaitan Ki Soorat
Paikar Hai Mera Soorah E Rehman Ki Soorat
Tu Paida Hua Hai Abu Sufyan Ki Soorat
Utra Hun Muhammad Py Main Quran Ki Soorat
Sab Log Nabuwat Ka Samar Kehtay Hain Mujh Ko
Tu Jehl Hai Aur Ilm Ka Darr Kehtay Hain Mujh Ko
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Kya Deen Ki Khidmaat Teray Hath Py Rakh Dun
Islam Ki Har Baat Teray Hath Pay Rakh Dun
Quran Ki Aayat Teray Hath Pay Rakh Dun
Tu Kehta Hai Main Hath Teray Hath Pay Rakh Dun
Har Jurm E Saqeefa Hai Teri Zaat Kay Ooper
Kull Nabiyon Ka Hai Hath Meray Hath Ky Ooper
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Mumkin Hi Nahi Khawab Ki Tabeer Say Bayaat
Tareeki Talab Karti Hai Tanveer Say Bayat
Tu Mangta Hai Kaatib E Taqdeer Say Bayat
Hairat Hai Talab Karta Hai Shabbir Say Bayat
Rakh Yaad Keh Daman Tera Khali Hi Rahay Ga
Tu Mangnay Wala Hai Sawali Hi Rahay Ga
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Kar Ghaor Zara Aala Nasab Tu Hai Keh Main Hun
Kar Ghaor Zara Shan E Adab Tu Hai Keh Main Hun
Kar Ghaor Zara Fakhar E Arab Tu Hai Keh Main Hun
Yeh Soch Keh Khilqat Ka Sabab Tu Hai Keh Main Hun
Khaliq Ka Jo Maqsood E Nazar Main Nahi Hota
Duniya Hi Nahi Hoti Agar Main Nahi Hota
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Hai Noor Ali Noor Ki Tanveer Ka Khutba
Quran Ky Honton Py Hai Tafseer Ka Khutba
Farhan Ali Hazrat E Shabbir Ka Khutba
Taqdeer Py Hai Kaatib E Taqdeer Ka Khutba
Saabit Hua Baatil Ki Himayat Nahi Karta
Jo Rabb Ka Numainda Ho Bayat Nahi Karta
Mujh Jaisa Teray Jaisay Ki Bayat Na Karay Ga
Tu Yazeed A Azali Hun Main Hussain Ibne Ali Hun
Main Hussain Ibn E Ali Hun