Reciter: Mesum Abbas
Logo Mein Ali Ki Beti Hoon
Konain Ki Mein Shehzadi Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Be Chadar Hoon Aur Qaidi Hoon
Bazaar Mein Rokar Kehti Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Kis Shaan Se Nikli Thi Ghar Se
Is Gham Ne Rulaya Tha Mujhkoo
Baazu Se Pakar Kar Ghazi Ne
Mehmil Mein Bithaya Tha Mujhkoo
Woh Manzar Soch Ke Roti Hoon
Heran Mein Khud Par Hoti Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Jab Qaafla Is Ke Ghar Pouncha
Sheree Ne Mujhe Pehchana Nahi
Qadmon Se Lapat Kar Ronay Lagi
Jab Mein Ne Kaha Kyun Jana Nahi
Pardes Mein Lut Kar Aayi Hoon
Pehchan Mein Aaqa Zadi Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Jis Waqt Sir e Muslim Dekha
Sajjad Ke Lab Par Tha Noha
Pehlay To Salami Di Mein Ne
Phir Rotay Hue Muslim Se Kaha
Qismat Ki Rasan Mein Jakri Hoon
AankHoon Se Salami Deti Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Hamrah Kaneezo’n Ke Ik Din
Zindaane Sitam Mein Hind Aayi
Zainab Se Kaha Jab Kon Hai To
Zainab Yeh Sukhan Lab Par Layi
Mein Ranj O Alum Ki Maari Hoon
Aur Sher e Khuda Ki Beti Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Zindan Se Raha Ho Kar Qaidi
Jab Karbobala Mein Aaye Thay
Bhai Ki Lehad Par Jatay Hi
Yun Bain Kiye Thay Zainab Ne
Kuch Neel Rasan Ke Layi Hoon
Tera Chahlum Karne Aa Yi Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Sajjad Se Kehti Thi Rokar
Darbaar Mein Kis Terhan Jaoon
Mein Sharam O Haya Ki Shehzadi
Ae Kash Zamee Mein Gur Jaoon
Mujrim Ki Terhan Se Chalti Hoon
Khaaliq Se Dahai Deti Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Athaara Biraadar Thay Jis Ke
Woh Bi Bi Rida Ko Roti Hai
Woh Zakham Diye Hain Ummat Ne
Marham Ko Dawa Ko Roti Hi Yai
Har Kalma Go Se Kehti Hoon
Kyun Aaj Rida Ko Tarasti Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
Pohanche Jo Madeeney Ahle Haram
Tha Mesum O Mazhar Hashr Bapaa
Sughra Se Kaha Shehzadi Ne
Chehray Pay Marey Kar Ghhor Zara
Zindaan Se Chutt Kar Aayi Hoon
Balon Mein Safedi Layi Hoon
Mein Zainab Hoon Mein Zainab Hoon
لوگو میں علی کی بیٹی ہوں
کونین کی میں شہزادی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
بے چادر ہوں اور قیدی ہوں
بازار میں روکر کہتی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
کس شان سے نکلی تھی گھر سے
اس غم نے رلایا تھا مجھکو
بازو سے پکڑ کر غازی نے محمل میں بیٹھایا تھا مجھکو
وہ منظر سوچ کے روتی ہوں
حیران میں خود پر ہوتی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
جب قافلہ اس کے گھر پہنچا
شیریں نے مجھے پہچانا نہیں
قدموں سے لپٹ کر رونے لگی
جب میں نے کہا کیوں جانا نہیں
پردیس میں لٹ کر آئی ہوں
پہچان میں آ قا زادی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
جسوقت سر مسلم دیکھا
سجاد کے لب پر تھا نوحہ
پہلے تو سلامی دی میں نے
پھر روتے ہوئے مسلم سے کہا
قسمت کی رسن میں جکڑی ہوں
آنکھوں سے سلامی دیتی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
ہمراہ کنیزوں کے اک دن
زندان ستم میں ہند آئی
زینب سے کہا جب کون ہے تو
زینب یہ سخن لب پر لائی
میں رنج و الم کی ماری ہوں
اور شیر خدا کی بیٹی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
زنداں سے رہا ہو کر قیدی
جب کرب و بلا میں آئے تھے
بھائی کی لحد پر جاتے ہی
یوں بین کیئے تھے زینب نے
کچھ نیل رسن کے لائی ہوں
تیرا چہلم کرنے آ ئی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
سجاد سے کہتی تھی روکر
دربار میں کسطرح جاؤں
میں شرم و حیا کی شہزادی
اے کاش زمیں میں گڑ جاؤں
مجرم کی طرح سے چلتی ہوں
خالق سے دہائی دیتی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
اٹھارہ برادر تھے جس کے وہ بی بی ردا کو روتی ہے
وہ زخم دئیے ہیں امت نے
مرہم کو دواکو روتی ہی یے
ہر کلمہ گو سے کہتی ہوں
کیوں آج ردا کو ترسی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں
پہنچے جو مدینے اہل حرم
تھا میثم و مظہر حشر بپا
صغرا سے کہا شہزادی نے
چہرے پہ مرے کر غور ذرا
زندان سے چھٹ کر آئی ہوں
بالوں میں سفیدی لائی ہوں
میں زینب ہوں میں زینب ہوں