Reciter: Tejani Brothers
Shaam, haaye shaam
Shaam, haaye shaam
Shaam, haaye shaam
Shaam, haaye shaam
Shaam, haaye shaam
Shaam, haaye shaam
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Sajad roke kehta hai mun dhamplo phuphi
Dar dar phirayi jayegi ab dukhtare Ali
Behaya kufr ke narghe mei
Agayi saaniye Fatema
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Ye paak bibi behna hai do imam ki
Kal thi wo shahzadi Kufa o Shaam ki
Qaydi wo banke aayi yahaan
Aaj kya haal us ka huwa
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Ik sar jo gir raha hai neze se ret par
K(air)se wo dekhpayega Zainab ko nange sar
Shere haider ki aankhei(n) hai(n) band
Zapt na karsaka bawafa
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Majma sharabiyon ka hasta hai zaarozar
Hum qadiyon ke lab par bas hai yahi pukaar
Ab kahaan jaye aale nabi Beamaan bewatan berida
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Ik rassi mei gale hain bara bandhe huwe
Sab qadi is safar mei rote huwe chale
Pusht par unko durre lage Aag si ret gharm hai hawa
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Marjayegi sakina hai haal istarha
Mun par lage tamache daman bhi hai jala
Uske kaanon se khun hai rawaan
Pyaasi bachi ki hai ye buka
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Ik shaami ne kanizi mei manga hai use
Roti hai wo sakina ammu kahaan gaye
Dekh kar toq o zanjeer mei
Dam nikalta hai sajjad ka
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Mehroom tashnalab the paani ke gunt se
Raste mei kitne bachhe girte the unt se
Jitney girte the marte gaye
Ujri maaon ki the ye sada
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya
Zist ka hunar “Tejani” humko sikha diya
Zainab ne apna khutba ayse shuru kiya
Mujhko manzoor marzi teri
Ay khuda zuljalaal shukriya
Manazare raahe shaam agaya
Manazare raahe shaam agaya