Reciter: Kazmi Brothers
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Hayya Alal Azaa Hayya Alal Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Yeh Aisa Diya Hai Jo Hawaon Mein Jalay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Rukhsar E Yazeedi Pay Lagay Ga Woh Tamancha
Jo Hath Azadar Kay Seenay Py Parhay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Sheh Bolay Yeh Hathon Py Utha Kar Sar E Maqtal
Hai Kon Jo Asghar Say Mery Baat Karay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Sada Rahay Ga Hussain Ka Gham
Yeh Shor E Giriya Yeh Shor E Matam
Zehra Ki Dua Hai Yeh Matam
Yeh Matam Kaisy Ruk Jaye
Seh Roz Ky Pyason Sy Yeh Pani Ka Hai Waada
Konain Mein Ab Koi Bhi Pyasa Na Rahay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Hurr Ban Ky Koi Aaye To Shabbir Ki Janib
Yeh Aisa Gharana Hai Jo Mango Gay Milay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Akbar Ny Kaha Sheh Say Ulat Dun Ga Main Lashkar
Baba Mujhy Do Ghoont Agar Pani Milay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Badshah E Karbala Deen Ka Hai Aasra
Teri Majlis Tera Matam Zindagi Hai Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Qayem Ko Zara Aanay Do Ghaibat Sy Takallum
Ek Halka Abhi Khana E Kaaba Mein Lagay Ga
Mazloom Ka Matam Hai Ruka Hai Na Rukay Ga
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain