Reciter: Tejani Brothers

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Khutbe ko shuru mei karti hu(n), karke mei hamd-e-rabb-e-jali. Tum takht pe bethe ho ay yazid, aur saamne hai ham sab qaydi
Kya sochte ho tum ay zalim, ke marzi-e-rab tumne paali Tum fatha-mand nahi dekho, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Mei kon hun tumhare age, tumko batlati hun mei abhi Mei paak hun dukhtar Zahra ki, mei jaane nabi aur binte ali, Mei dono jahaan ki malka hun, lekin me hun ab pardesi
Khamosh ho kyun, kuchh to bolo, Mei zainab hun mujhe pehchano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Apni aurat hai parde mai, aur ale nabi hai bechadar
Binte Zahra ko istarha, darbar mei laye ho kyun kar
Paband-e-rasan aur beparda, hum sabko piraye ho dar dar Kya sharm nahi ati tumko, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Duniya ab dekhengi ay yazid, ab teri aur meri aukat
Jinnat malaik aur insaan, humse lete hain rahe najat
Tu ek besharm sharabi hai, tejme hai mila shitan ki zaat Saare shaami ab jag utho, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Besharm hai tera gar jisne, Allah ka ghazab jo paaya hai Tu uska pota hai jisne, shuhadaa ke jigar ko chabaaya hai Nana ki fath-e-jang-e-badr,tumhara qalb jhalaya hai

Has has ke na itna khush howo, mei Zainab hu mujhe
pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Noke neza pe charhaya sar, jo ruhe ali hai jaane Batool Wo sar ko chardi se marte ho, jisko bose dete the rasool Har eik hi zarb se khulte hai, is qalb mei phir zakhmo(n) ke phool Is pyaase gharib ko na maaro, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Jo chahta tha tune wo kiya, leykin tujhko ye yaad rahe Ik din ahmed ke aage tu, ayenga sar ko jhukaye huwe Lab pe ye dua hogi teri, ay kash ye bazu kat jaate Aal-e-imran zara parhlo, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Badle ke liye rab kafi hai, jibreel hamare yawar hai
Dil hai tera shaitaan ka gar, aur qalb tumhara patthar hai Tu hoga fana is ki khatir, khu(n) paak tere haatho(n) par hai Tum kuch nahi kar sakte mujhko, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Hai kitna ajab be jurmo(n) ko, azaad ghulamo(n) ne mare Karbal ki jhalti reyti par, haaye bekafan laashei(n) hai pare Gar ye hai tumhari fatha yazid, inka hi sila dena hai tujhe Tu apna takabbur ko roko, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Hai humko bharosa Allah par, Allah ki rahmat hai ham par

Ye abru milsakti hi nahi, tumko to kabhi hamse barh kar Jannat to hamari hai qismat, taqdeer tumhari hai ye samar Aane ko tabahi hai tumko, mei Zainab hu mujhe pehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Khamosh “Tejani” tha darbaar, Zainab ne kiya khutbe ko tamaam Kuch bol na paya tha zalim, aur iske sabab tha ye anjaam Zalim ki hukumat toot gayi, zainab ne bachaaya tha islam Haider jo bani kehke sabko, mei Zainab hu mujhepehchaano

Ay logo suno, zara sharm karo
Mei Zainab hu mujhe pehchaano

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply