Reciter: Tejani Brothers
Mere Zawwaro
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Mere baba the khuld ke malik, jiske darpar Quran utra tha Uski poshaak ayi jannat se, unke sadqe se ye jahaan bana Mushkilein jab pari thi fitrus par, uska zamin bana mera baba
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Meri dadi thi Fatema Zahra, asl mei jo thi ayat-e-tatheer Mera dada tha Haider-e-Karrar, hai bari jinki deen mei tauqeer Mera bhayi ka tha yahi paikar, wo tha bilkul rasool ki tasweer
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Eik din gar se ham huwe rukhsat, raah mei ik muzahimat ayi Ponche ham karbala ke maydaa(n) mei, saathwi din se band tha pani Zalimo(n) sab jama huwe ban mei, jang ki kar rahe the tayyar
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Nikla ashur yawm ka suraj, chamki zalim ki fauj ki talwaar Haye qasim ka tan huwe tukre, mere Akbar ka tha kaleja paar Mere Asghar ki chidgayi garden, khun ko arz ne kiya inkaar
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Pyaas meri bujhane ko ammu, nikle mashkiza aur alam lekar Mashk ko bhar ke laut aata tha, par in ankho(n) ne dekha ye manzar Dono bazu kate baha pani, aur na aya kabhi bin-e-Haider
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Mene Asghar ke baad ye dekha, baba maydaa(n) mei rehgaye tanha Unpe har ik taraf se tha hamla, tan to zakhmo(n) se choor choor huwa Shimr seene pe beyth ke apna, kund khanjar se kaata pyaasa gala
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Socho kya gham guzarta tha dil mei, shimr ne jab kiya sitam mujhpar Khayme mei aake meri godi mei, phenka pyaare mere padar ka sar Khenchkar mujhko mere baalo(n) se, zor se cheena kaano(n) se gohar
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Ham gharibo(n) pe kaisi raat ayi, jhalgaye khayme chingayi chadar Dhundti thi mei ran mei baba ko, is andhere mei haaye rorokar Eik laashe se ye sada ayi, awo soja Sakina sine par
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Gyarwi subh ham huwe rukhsat, dhoop sar pe thi mei rasan basta Pusht par taziyanei(n) lagte the,
aur kanto(n) se tha bhara rasta Haath mei leke aag ke patthar, hampe barsa rahe the sab aada
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Mujhko darbar mei huwa maloom, kis qadar thi hamari majboori Eik be sharm o be haya zalim, ki thi khwahish meri kaneezi ki Sab nigahei(n) thi haaye abid par, par na kuch kar saka mera bhayi
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Baad-e- darbaar ham chale zindaan, na thi chat aur na tha koi saya Din mei sar pe thi dhoop ki shiddat, Aur shab ka andhera tha thanda Mei nahi so saki thi ay logo, jabse bichra tha baap ka sina
Mere zawwaro(n), ake suno tum, meri kahani
Ay“Tejani” wohi Sakina jo, na kabhi so saki thi zindaa(n) mei Eik raat usko aisi neend ayi, usko na koi bhi jaga paayei(n) Tha jo majboor qayd mei abid, apne haatho(n) se usko dafnayei(n)