Reciter: Farhan Ali Waris
Mola Mola Mola Mola Subhan Allah
Wallah Ho Khair Ur Raziqeen
Aur Allah Behtreen Rizq Denay Wala Hai
Rehmat Ka Waseela Hai Barkat Ka Waseela Hai
Mola Ka Dastarkhwan Hai Kya Neymat Ka Waseela Hai
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Duniya Mein Nahi Is Dastarkhwan Ky Jaisa Dastarkhwan
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Karam Karam Allah O Nabi Ka
Karam Karam Bibi Zehra Ka
Mash’hoor Zamanay Walon Mein Tha Dastarkhwan Hasan Ka
Is Ghar Ky Dastarkhwan Mein Hai Us Dastarkhwan Ka Sadqa
Han Rizq Ki Tangi Door Karay Hai Aisa Dastarkhwan
Mola Ka Dastarkhwan
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Ho Jis Ky Ghar Mein Rizq Ki Tangi Dastarkhwan Saja Ly
Ghar Kuch Bhi Nahi Ho Pas To Bas Pani Py Nazar Dila Lay
Phir Daikh Waseeh Karta Hai Mola Kaisa Dastarkhwan
Mola Ka Dastarkhwan
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Karam Karam Allah O Nabi Ka
Karam Karam Bibi Zehra Ka
Mansoob Ksi Masoom Say Kar Do Ghar Ka Dana Dana
Ek Bar Durood E Pak Parho Sayel Ko Khila Do Khana
Tareekha Mein Aisa Daikha Hai Zehra Ka Dastarkhwan
Mola Ka Dastarkhwan
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Mola Mola Mola Mola Subhan Allah
Shabbir Ky Rozay Par Jatay Hain Jitnay Chahnay Wala
Sab Khatay Hain Taqdeer Say Kaisay Pak Niwalay
Molay Ky Dar Par Milta Hai Mola Ka Dastarkhwan
Mola Ka Dastarkhwan
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Karam Karam Allah O Nabi Ka
Karam Karam Bibi Zehra Ka
Farhan Parhay Mazhar Bhi Likhay Is Dastarkhwan Ki Midhat
Is Dastarkhwan Py Khana Kha Kar Barh Jati Hai Izzat
Hai Aal E Nabi Say Nisbat Jis Ko Aisa Dastarkhwan
Meray Ghar Mein Saja Hai Aaj Mola Ka Dastarkhwan
Rehmat Ka Waseela Hai Barkat Ka Waseela Hai
Mola Ka Dastarkhwan Hai Kya Neymat Ka Waseela Hai