Reciter: Farhan Ali Waris
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Lashay Py Kharhay Sochtay Thay Sayed E Waala
Atthara Bars Maan Nay Muraadon Say Tha Pala
Khaimay Ki Taraf Daikha Kabhi Dill Ko Sambhala
Phir Tham Ky Phal Barchi Ka Seenay Say Nikala
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Zakhmi Hai Bahut Gaisoo’on Wala Na Uthay Ga
Ek Baap Ko Taqdeer Nay Halat Yeh Dikhai
Thi Lash E Jawan Samnay Honton Py Duhaai
Patkay Say Kamar Tham Ky Maiyat Jo Uthai
Sar Nangay Phuphi Khaimay Say Bahir Nikal Aai
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Zakhmi Hai Bahut Gaisoo’on Wala Na Uthay Ga
Maqtal Mein Qayamat Ki Ghata Chaa Gai Akbar
Na Janay Tujhe Kis Ki Nazar Kha Gai Akbar
Din Biyah Ky Aye To Ajal Aa Gai Akbar
Uth Jao Meray Laal Phuphi Aa Gai Akbar
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Zakhmi Hai Bahut Gaisoo’on Wala Na Uthay Ga
Bano Ka Yeh Armaan Tha Dulhan Biyah Ky Laati
Is Chand Say Chehray Py Woh Sehra Bhi Sajati
Sughra Teray In Hathon Mein Mehndi Bhi Rachati
Khud Karti Har Ek Kaam Na Bhabi Say Karati
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Zakhmi Hai Bahut Gaisoo’on Wala Na Uthay Ga
Kya Khoob Meray Laal Yeh Shadi Hai Rachai
Aai Na Dulhan Biyah Kay Maiyat Teri Aai
Ro Ro Ky Yeh Zainab Nay Di Baba Ko Duhaai
Shabbir Nay Khud Hathon Py Yeh Lash Uthai
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Zakhmi Hai Bahut Gaisoo’on Wala Na Uthay Ga
Sardar Azadar E Hussain Aye Hain Pur Namm
Jab Tak Bhi Dharaktay Huye Seenon Mein Rahay Dam
Barpa Ali Akbar Ka Karen Gay Yun Hi Matam
Uth Jayen Gay Duniya Say To Reh Jaye Ga Yeh Gham
Mola Say Mera Nazo Ka Pala Na Uthay Ga
Zakhmi Hai Bahut Gaisoo’on Wala Na Uthay Ga