Reciter: Farhan Ali Waris

Ay Meri Maan

Mola Imam Jafar E Sadiq A.s Farmatay Hain

Jab Tumharay Dill Mein Hamari Mohabbat Ki Thandak Mehsoos Ho To Apni Maan Ko dua do. khuda ki qasam tumhari maan ki nijaat k liye yehi baat kafi hai keh Us Nay Tumhen Hamari Mohabbat Mein Parwan Charhaya.

Aisay Parwanay Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Mujh Ko Dena Yeh Khazana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Maan Mujhe Khoob Parhana
Aur Namazi Bhi Banana
Aur Tabarra Bhi Sikhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Kar Dun Duniya Ko Main Qayel
Aisay Mola Ky Fazayel
Mujhe Lori Mein Sunana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Maan Mujhe Jab Bhi Sulana
Marsiye Nohay Sunana
Ya Ali Keh Ky Jagana
Mujhe Molai Banana

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aaye Jab Aath Muharram
To Meray Wastay Payham
Ek Alam Ghar Mein Sajana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Mana Hai Umar Abhi Kam
Maan Mujhe Karna Hai Matam
Mujhe Zanjeer Dilana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Tarbiyat Ho Meri Aisi
Jaisi Mola Nay Sikhai
Kuch Bhi Bolay Yeh Zamana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Mujh Ko Jo Khana Khilana
Thanda Pani Jo Pilana
Karbala Yad Dilana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Zikr E Sarwar Ho Mera Kam
Goonjay Duniya Mein Mera Naam
Mujh Ko Banana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Jo Wila Say Mujhay Roken
Jo Aza Pay Mujhay Token
Aisay Logon Say Bachana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aaye Jab Aisa Zamana
Jab Meray Sehra Sajana
Noha Akbar Ka Parhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Yeh Nahi Maan Ko Naseehat
Yeh Hai Bas Josh E Aqeedat
Is Ka Maqsad Hai Batana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Hai Khuda Say Yehi Hajat
Rakh Meri Maan Ko Salamat
Jis Nay Is Baat Ko Mana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Manqabat Zill E Raza Ki
Yeh Jo Farhan Sunai
Yeh Hai Bachpan Ka Tarana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Aisay Parwan Charhana
Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Mujhe Molai Banana
Ay Meri Maan

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply