Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Haye Safar Zainab Ka

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Napak Nigahon Say Gar Mujh Ko Bachana Hai
Quran Meray Bhai Naizay Pay Sunana Hai
Kis Tarah Chupaye Khud Ko Is Waqt Behan Lachar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Jo Wada Kiya Tujh Say Poora Usay Karna Hai
In Sham Ki Galiyon Say Bey Parda Guzarna Hai
Chadar Ka Muhafiz Jo Tha Is Baat Py Matam Gaar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Kis Darja Museebat Hai Kis Darja Pareshani
Barsaye Koi Pathar Koi Phainkay Garam Pani
Koi Sadqa Hum Par Phainkay Koi Jaltay Huye Angaaray
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Yeh Aalam E Majboori Bas Roti Rahi Zainab
Ghazi Ki Behan Ho Kar Kuch Kar Na Saki Zainab
Zaalim Nay Teri Bachi Ko Kai Bar Tamanchay Maray
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Yeh Shami Hamen Paidal Kaanton Pay Chalatay Hain
Ghash Kha Ky Jo Gir Jaye Durron Say Jagatay Hain
Chalay Bhi Yehi Kehtay Hain Aur Zakhm Jigar Kay Saray
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Ek Dard Kalaijay Mein Har Waqt Hi Rehta Hai
Tahnay Koi Deta Hai Baghi Koi Kehta Hai
Bas Itni Dua Dy Bhai Is Waqt Na Himmat Haray
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Hum Mehw E Tamasha Hain Qaidi Hain Barehna Sar
Ek Bar Nahi Sar Say No Bar Chini Chadar
Ek Shakhs Urhaye Chadar Aur Doosra Aa Ky Utaray
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Sajjad Ki Lachari Daikhi Nahi Jati Hai
Jo Us Ko Aziyat Hai Zanjeer Batati Hai
Beemar Ki In Ankhon Say Behtay Hain Lahoo Ky Dharay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Farhan Ki Mazhar Ki Ankhon Mein Woh Manzar Hai
Doran E Safar Noha Bibi Ky Labon Par Hia
Hai Bhai Teri Furqat Hai Jeetay Jee Mujhay Jo Maray
Haye Kis Ko Sada Day Zainab Sajjad Mera Beemar Ay

Na Mehmil Hai Na Chadar
Aur Sham Ka Yeh Bazar Ay
Haye Kis Ko Sada Day Zainab
Sajjad Mera Beemar Ay

Haye Haye Safar Zainab Ka

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply