Reciter: Mesum Abbas

Aye Logo’n Aao Tumko Batau’n
Rehmat E Baari Tumko Dikhau’n

Saare Jahaan Ka Hai Ek Sahara
Ye Jo Alam Mere Ghar Pe Laga Hai

Ye Hai Alam Abbas Ka
Ye Hai Alam Abbas Ka

Ghum Se Nikaale, Mushkilein Taale
Kaisa Wasila Rab Ne Diya

Ye Hai Alam Abbas Ka

Hum Ne Alam Jab Ghar Mein Sajaya, Ghar Mein Rakhe Zehra Ne Qadam
Door Huye Sab Ranj O Masayeb, Phir Kaisi Mushkil Kaisa Ghum
Daste Karam Hai, Sheh Ka Bharam Hai
Jiska Koi Saani Na Mila

Ye Jo Bandhi Hai Mashk E Sakina, Isko Kaho Taweez E Wafa
Rishta Bhatiji Aur Chacha Ka, Aaj Talak Na Toot Saka
Ek Kahani, Iski Zabani
Sun Lo Agar Sunte Ho Sada

Dekho Alam Ka Surkh Pharehra, Chadar E Zainab Se Hai Bana
Jo Bhi Alam Ke Saaye Mein Aya, Duniya Ke Sab Ghum Bhool Gaya
Ab Jaake Mana, Sara Zamana
Saya Fighan Ghar Ghar Pe Hua

Aisa Alam Duniya Mein Dikhao, Jiski Ata Ho Rab Ki Ata
Shaan E Azadari Ye Alam Hai, Dekho Azakhano Mein Zara
Mannat E Puri, Karta Hai Sabki
Zinda Hai Iske Dam Se Wafa

Haan……
Hamza O Jafar Ka Ye Alam Hai, Hai Ye Alam Haidar Ka Alam
Denge Gawahi Shah E Zaman Bhi, Hai Ye Mere Lashkar Ka Alam
12wa Haidar, Kaabe Ki Chhat Par
Lehra Ke Isko Dega Sada

Hayee….
Qatl Hua Jab Dariya Pe Ghazi, Toot Gayi Maula Ki Kamar
Laasha Nahi Sheh Laye Jari Ka, Laye Alam Hi Khoon Mein Tar
Beti Se Bole, Shabbir Roke
Aye Nahi Dariya Se Chacha

Karbobala Ke Dasht Ka Manzar, Kaise Likhu Rota Hai Qalam
Bad E Jari Aulaad E Payambar, Nauhakuna Thi Zer E Alam
Baali Sakina, Karti Thi Noha
Saaye Mein Iske Aaye Qaza

Panja Alam Ka Mesum O Mazhar, Daste Karam Abbas Ka Hai
Paal Raha Hai Saare Jahan Ko, Ye Bhi Hasham Abbas Ka Hai
Jisne Jo Manga, Usne Wo Paya
Phir To Zamane Ko Kehna Para

Ye Hai Alam Abbas Ka
Ye Hai Alam Abbas Ka

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply