Reciter: Farhan Ali Waris

Namoos E Payambar Hain Aur Sham E Ghareeban Hai
Sab Khak Py Bethy Hain Aur Bibi Pareshan Hai
Ran Ghory Andhera Hai Khamosh Bayabaan Hai
Zainab Ka Khula Sar Hai Allah Nigehbaan Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Hai Noha Kunaan Sooraj Zainab Ki Aseeri Par
Taqdeer Bhi Roti Hai Bachon Ki Yateemi Par
Majboor Hain Bey Kas Hain Jalti Hui Raiti Par
Pehra Hai Yazeedon Ka Har Fard Hirasan Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Zainab Ky Masayeb Par Khud Karbobala Roi
Hathon Mein Sitamgar Ky Jaty Hi Rida Roi
Lashon Py Shaheedon Ky Yeh Keh Ky Qaza Roi
Afsos Har Ek Lasha Is Dasht Mein Uryan Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Quran Tarhapta Tha Tafseer Tarhapti Thi
Maqtal Mein Payambar Ki Tasweer Tarhapti Thi
Bhai Ki Museebat Par Hamsheer Tarhapti Thi
Ay Bhai Tery Gham Mein Honton Py Meri Jaan Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Kis Tarha Ujarha Hai Zalim Ny Mery Ghar Ko
Naiza Bhi Kalaijy Par Mara Mery Akbar Ko
Bey Gor O Kafan Chorha Is Dasht Mein Sarwar Ko
Yeh Keh Ky Jo Roti Hai Shabbir Ki Yeh Maan Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Aulad E Ali Ran Mein Seh Roz Ki Pyasi Hai
Majboor Aseeri Mein Ahmad Ki Nawasi Hai
Mahol Hai Matam Ka Har Simt Udasi Hai
Aur Farsh E Aza In Ka Yeh Khaof Ka Maidan Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Hai Khoon E Jigar Meri Ankhon Sy Rawan Mazhar
Baqi Na Rahi Dill Mein Ab Taab E Bayan Mazhar
Uthti Hai Mery Dil Sy Awaz E Fughan Mazhar
Majlis Hai Jo Is Dill Mein Woh Sham E Ghareeban Hai

Namoos E Payambar Hai Aur Sham E Ghareeban Hai

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply