Reciter: Farhan Ali Waris

Sham E Ghareeban Ky Ghup Andhairay Mein Sakina Ki Fughan Thi

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kya Khak Pe Aye Gi Baba

Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Maan Ki Aghosh Ya Aghosh E Padar Bhaati Hai
Neend Bachon Ko Andhairay Mein Kahan Ati Hai
Yad Seenay Ki Sataye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Aag Aur Khoon Ky Mahol Say Ghabrai Hun
Is Liye Aap Ky Lashay Py Chali Aai Hun
Kuch Kami Dard Mein Aye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kya Khak Py Aye Gi Baba

Ab Dehaktay Huye Sehra Ko Kahun Gi Bistar
Mera Takiya Hai Yeh Pathar To Falak Hai Chadar
Haan Yeh Ghurbat Hi Rulaye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Aap Roothay To Muqaddar Bhi Mera Rooth Gaya
Ho Gaya Tukrhay Jigar Gham Say Yeh Dill Toot Gaya
Zindagi Chain Na Paye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Kya Isi Din Ky Liye Rab Say Mujhay Manga Tha
Waqt E Mushkil Mein Akela Jo Mujhay Chorh Diya
Ab Sakina Kahan Jaye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Tum Tarhaptay Sakina Jo Kabhi Roti Thi
Aah Karti Thi Main Takleef Tumhen Hoti Thi
Aik Ek Baat Rulaye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Har Dafa Mujh Ko Hi Seenay Pay Sulaya Baba
Aaj Kiun Teeron Ko Seenay Py Sulaya Baba
Na Sakina Yeh Bhulaye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Kaisay Farhan Yeh Roodad Likhay Ga Mazhar
Baap Say Kehti Thi Maqtal Mein Sakina Ro Kar
Baat Yeh Mujh Ko Jagaye Gi Baba

Aap Ka Seena To Teeron Say Bhara Hai
Neend Kia Khak Pe Aye Gi Baba

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply