Reciter: Farhan Ali Waris
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Asghar Ko Dafn Kar Chuka Jab Fatima Ka Laal
Tanhai Apni Daikh Kar Kehta Tha Pur Malaal
Amman
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Beenai Ja Chuki Hai Jigar Pash Pash Hai
Is Haal Mein Bhi Lash E Pisar Ki Talash Hai
Akbar Ka Hai Lasha Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Amman Yeh Afaten Yeh Masayeb Yeh Tashnagi
Ghurbat Mein Sath Chorh Gaye Hain Mera Sabhi
Zakhmon Ki Yeh Duniya Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Na Faoj Reh Gai Na Alamdar Reh Gaya
Bas Reh Gaya To Tera Dilafgaar Reh Gaya
Hai Zulm Ka Sehra Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Waday Sabhi Nibha Ky Hua Aisay Surkhroo
Balon Mein Khak Chehry Py Bey Sheer Ka Lahu
Hahton Py Janaza Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Dolat Rubab Ki Sar E Maqtal Chupa Hai
Apnay Zaeef Hathon Say Turbat Banai Hai
Karta Raha Noha Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Bachpan Mein Kitnay Naaz Uthaye Hain Yad Hai
Ek Pal Bhi Khud Say Door Na Karti Thi Tu Mujhay
Yeh Waqt Hai Kaisa Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Awaz E Istighasa Sunay Kon Ab Yahan
Abbas Hai Na Qasim O Akbar Na Bay Zaban
Ab Kon Hai Mera Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Jis Phool Say Badan Py Kabhi Dhoop Na Parhi
Teeron Nay Chaan Dala Hai Amman Badan Wohi
Marham Na Dilasa Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Ek Dor Tha Keh Agar Say Agar Main Kahin Gaya
Saye Ki Tarah Sath Mein Rehtay Thay Aqraba
Ek Yeh Hai Zamana Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Yeh Barchiyon Ki Naizon Ki Duniya Hai Aur Main
Tanhai Faoj E Sham Ka Nargha Hai Aur Main
Day Mujh Ko Dilasa Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Zakhmon Say Choor Choor Badan Qalb Aur Jigar
Faryad Hai Labon Pay Qaba Hai Lahoo Mein Tarr
Chalni Hai Kalaija Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
Farhan Us Ghareeb Ki Lachar Ki Buka
Han Mazhar Abidi Ka Qalam Likh Nahi Saka
Hai Bas Yeh Khulasa Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain
No Lakh Ka Rela Amman Main Akela
Kitna Ghareeb Ho Gaya Hussain