Reciter: Farhan Ali Waris

Hussain Hussain Hussain Hussain Hussain Hussain

Imam Jafar E Sadiq Irshad Farmatay Hain Keh Jo Shaksh Imam Husain (a.s.) Ke Kabr Ki Taraf Paidal Chal Kar Aaya Allah (Aj) Us Ke Liye Har Kadaam Ke Badle 1000 Nakiya Likh Deta Hai Aur 1000 Gunah Maaf Kar Deta Hai Aur 1000 Darjaat Baland Kar Deta Hai.

Main Ishq K Safar Py Chala
Har Ek Qadam Py Karta Hua
Shukr E Khuda
Main Safar Py Chala

Jab Mainy Sar Zameen Najaf Par Rakhay Qadam
Dill Nay Meray Irada Kiya Ya Shah E Umam

Yeh Tujh Say Mohabbat Hai Meri
Aun Jo Ziyarat Ko Teri Ibne Ali

Kar Lay Qubool Mera Aqeedat Bhara Salam
Paidal Najaf Say Karbobala Aaye Ga Ghulam

Al Madad Ya Shah E Karbala
Al Madad Ya Shah E La Fatah
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Main Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Naaz Qismat Py Karta Hua
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Meray Seenay Mein Bachpan Say Armaan Tha
Aa Gaya Gar Wahan Say Bulawa Mera
Shah E Mardan Ky Dar Say Sooye Karbala
Apnay Pairon Py Chalta Hua Jaun Ga
Shukar E Maula Woh Din Aa Gaya
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Zaib E Tan Kar Ky Ehram E Gham Chal Diya
Khud Py Nad E Ali Kar Ky Dam Chal Diya
Aik Chota Sa Ly Kar Alam Chal Diya
Tha Nigaahon Mein Sheh Ka Alam Chal Diya
Jab Yeh Azm E Safar Mil Gaya
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Us Musaafat Ka Ehwaal Mujh Say Suno
Main Najaf Say Chala Jis Gharhi Momini
Yad Karta Raha Mola Sajjad Ko
Kya Kahun Hosla Jo Mila Dosto
Har Qadam Noha Parhta Hua
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Noha Kartay Huye Soag Waar Aa Gaye
Jis Taraf Aankh Uthi Hazaar Aa Gaye
Farsh Par Arsh Say Pursadaar Aa Gaye
Thak Ky Betha To Khidmat Guzaar Aa Gaye
Jis Ka Jee Chaha Jaisay Chala
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Chaltay Chaltay Jo Pairon Mein Chalay Parhay
Aa Gaye Yad Sab Zakhm Sajjad Kay
Yad Aaye Aseeron Ky Jab Hoslay
Yun Laga Jaisay Chalay Parhay Hi Na Thay
Un Aseeron Ko Rota Hua
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Imam Jafar E Sadiq As Irshad Farmatay Hain:
Jis Nay Imam Hussain A.s Ki Ziyarat Kar Li, Goya Us Nay Rasool Allah Saww Ki Ziyarat Kar Li.

Sadiq E Aal E Athaar Say Bhi Suno
Zaayeron K Liye Keh Gaye Mustafa
Jis Nay Daikha Haram Meray Shabbir Ka
Us Ko Meri Ziyarat Hui Ba Khuda
Is Aqeedat Mein Barhta Hua
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Duniya Walon Yehi Ishq Ka Hai Safar
Gaam Zan Anbiya Bhi Hain Is Raah Par
Is Safar Ki Fazeelat Say Ho Ba Khabar
Sakht Sardi Ho Ya Sakht Garmi Magar
Sab Ky Labb Par Hai Bas Ek Sada
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Yaadon Mein Hai Meri Ab Tak Woh Karwan
Manzil Ko Thay Rawan Kya Tifl Kya Jawaan

Thay Aazim E Safar Mazoor O Natawan
Parda Nasheen Sab Maan Behan Betiyan

Hathon Mein Ya Hussain Ky Parcham Liye Huye
Mosam Ki Fikr Thi Na Thakan Ky Muaamlay

Barhtay Rahay Hussain Ki Janib Yeh Qaafilay
Har Char Gaam Par Thay Moakib Banay Huye

Un Mein Tha Zayereen Ki Rahat Ka Ehtmam
Jinnat Aur Farishtay Bhi Kartay Thay Ehtamam

Logon Ky Ijdahaam Mein Daikha Yeh Mojza
Na Bhook Say Nidhal Na Pyasa Koi Mila

Sadqa Mera Hussain Ka Bat’ta Tha Char Soo
Aati Thi Rotiyon Say Man O Salwa Ki Khushboo

Na Qabil E Bayan Hain Jo Ehtmam Thay
Koozay Jo Thay Sabeel Py Kosar Ky Jaam Thay

Han Zayer E Hussain Ky Pairon Ki Khak Say
Na Janay Kitnay Log Shifa Yaab Hotay Thay

Aksar Yeh Zayereen Ky Kaanon Nay Bhi Suna
Ati Hai Yeh Hussain Ky Rozay Say Ek Sada

Yeh Log Mohtram Hai Hamari Nigah Mein
Abbas
Zayeeren Ko Lay Lo Panah Mein

Labbaik Ya Hussain

Saya Sar Py Alamdar Ka
Main Paidal Chala Karbala

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Zayeron Say Main Sunta Tha Aksar Yehi
Chahay Jis Rastay Say Bhi Jaye Koi
Pehlay Ho Gi Ziyarat Alamdar Ki
Baad Mein Qabr E Shah E Zaman Aye Gi
Jan’nay Ko Yeh Sab Maajra
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Aaya Jab Samnay Roza Shabbir Ka
Gir Kay Bey Sakhta Mainy Sajda Kiya
Apnay Mola Say Sajday Mein Ro Kar Kaha
Mangnay Kuch Nahi Aaya Main Bakhuda
Shaoq Teri Ziyarat Ka Tha
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Imam Jafar E Sadiq Nay Irshad Farmaya:
Imam Hussain A.s Ki Ziyarat Tamam Amaal Say Afzal Hai. Jo Shakhs Imam Hussain A.s Ky Haq Ki Marefat Rakhtay Huye Un Ki Qabr Par Aye Ga, Woh Us Shakh Ki Tarah Ho Ga Jis Nay Rasool Allah Saww Ky Sath So Hajj Kiye Hon. Agar Tum Mein Say Aik Admi Sari Zindagi Hajj Karta Rahay Aur Us Nay Hussain Ibne Ali A.s Ki Ziyarat Na Ki Ho To Woh Allah J.j Aur Us Ky Rasool Saww Ky Haq Ka Taarik Ho Ga Is Liye Keh Hussain A.s Ka Haq Allah J.j Ky Un Farayez Mein Say Hai Jo Keh Har Musalman Par Wajib Hai

Keh Diye Baat Mazhar Say Farhan Nay
Marifat Ki Balandi Mujhay Chahiye
Mainy Jana Jo Aala O Afzal Usay
Karbala Ky Hi Phir Mainy Samaan Kiye
Phir Najaf Say Hi Hota Hua
Main Paidal Chala Karbala
Ya Hussain

Paidal Chala Karbala
Main Paidal Chala Karbala

Hussain Hussain Hussain Hussain Hussain Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply