Reciter: Mir Sajjad Mir
Pani Masooma Ne Maanga To Tamanchay Khaye
Roi Baba Ko Sakina To Tamanchay Khaye
Jaltay Khaimon Say Nikaltay Huye Us Bachi Nay
Rasta Poocha Najaf Ka To Tamanchay Khaye
Apnay Chehray Ko Tamanchon Say Bachanay K Liye
Nanhay Hathon Say Chupaya To Tamanchay Khaye
Koofa O Sham Ky Bazar Mein Chaltay Chaltay
Thak Ky Bethi Jo Sakina To Tamanchay Khaye
Gir Gai Thi Woh Kahin Chaltay Huye Naaqay Say
Shimr Jab Dhund Ky Laya To Tamanchey Khaye
Kiun Meray Baba Py Zaalim Tu Chalata Hai Churi
Is Ny Jab Shimr Sy Pocha To Tamanchay Khaye
Pani Masooma Nay Manga To Tamanchay Khaye
Cheenanay Aya Jo Bachi Ki Rida Shimr E Laeen
Is Nay Chadar Ko Na Chorha To Tamanchay Khaye
Bhai Ka Nanha Sa Sar Girta Tha Jab Naizay Say
Is Nay Goudi Mein Uthaya To Tamanchay Khaye
Bhai Ky Pairon Ky Chalay Say Safar Mein Is Nay
Jab Bhi Kanton Ko Nikala To Tamanchay Khaye
Mir Sajjad Sakina Bhi Hai Zehra Ki Tarah
Ho Gai Jab Woh Yateema To Tamanchay Khaye
Pani Masuma Ne Manga To Tamanchay Khaye