Reciter: Mohammad Ali Rizvi

Ay Musalmano Suno

Ay Musalmano Suno Hai Yehi Farman E Umar
Ali Na Hoty Agar Halak Hoty Umar

Aik Din Paish Yeh Darbar Mein Aaya Qissa
Aik Khatoon Jo Pagal Thi Usy Laya Gaya
Jurm Sun Kar Kaha Sangsaar Kiya Jaye Ga
Faisla Badlo Umar Aa Ky Yeh Haider Ne Kaha
Pagalon Par Nahi Wajib Yeh Halal Aur Haram
Us Sy Khaliq Ny Shariyat Ky Uthaye Ahkaam
Sun Ke Yeh Boly Umar Hal Na Haider Kary Gar
Aisy Har Masaly Sy Kiun Na Panah Mangy Umar
Ho Ke Bey Sakhta Yeh Boly Umar

Ya Ali Agar Aap Na Hoty To Umar Halak Ho Jata

Ali Na Hoty Agar Halak Hoty Umar

Momino Waqaya Tareekh Ne Yeh Bhi Likha
Jab Ke Ohda Yeh Khilafat Ka Yeh Umar Ne Paya
Aaye Darbar Mein Ek Roz Yahoodi Ulama
Kuch Sawal Aa Ke Khalifa Sy Kiye Aur Yeh Kaha
In Sawalon Ky Jawab Ap Sahi Den Gy Agar
To Yaqeen Hum Yeh Karen Gy Thy Muhammad Haq Par
Aur Ghalat Den Gy Agar Jan Yeh Jaye Bhi Magar
Jayen Gy Hum Yahan Islam Ko Batil Keh Kar
Poocho Jo Chaho Umar Ne Yeh Kaha
Hum Ko Batlaiye Boly Ulama

Aasman Ke Hain Kahan Taly Kahan Hai Chaabi
Apni Murdy Ko Liye Kon Si Thi Qabr Chali
Kon Si Cheez Thi Qaom Apni Darai Jis Ne
Na Jinon Se Thi Na Woh Cheez Na Insanon Se
Kon Si Paanch Woh Cheezen Hain Zameen Par Chalti
Aur Albatta Kisi Jism Se Paida Na Huiin
Jab Sawalon Ko Suna Apny Sar Ko Pakrha
Aur Umar Ne Yeh Kaha Yeh Nahi Mujh Ko Pata

Boly Ulama Ke Yeh Islam Nahi Hai Haq Par
Na To Tum Un Ke Khalifa Na Woh Thy Paighambar
Sun Ke Is Bat Ko Salman Yeh Boly Uth Kar
Faisla Deny Mein Karty Ho Yeh Jaldi Kiun Kar
Islam Mursil Ka Pata Tum Ko Chale Ga Dar Se
Ja Ky Salman Bula Laye Ali Ko Ghar Se
Aaye Darbar Mein Is Tarha Ali
Dosh Par Daly Aba Sarwar Ki
Boly Toraat Se Main Dun Ga Jawab
Ho Gi Ek Shart Magar Yeh Meri
Tum Ko Mil Jaye Sawalon Ka Jawab
Tum Bhi Ly Aao Gy Islam Abhi

Boly Manzoor Yahoodi Ulama
Phir Huye Is Tarha Haider Goya
Taly Aflaak Ke Hain Shirk Khuda Sy Karna
Chaabian Haq O Risalat Ki Gawahi Dena
Apny Sahib Ko Suno Qabr Hai Jo Le Ky Chali
Machli Hai Hazrat Younus Ko Nigalney Wali
Aur Na Insan Jinon Sy Na Darany Wali
Cheez Woh Aur Nahi Koi Woh Hai Ek Chioonti
Qaom Sy Boli Thi Chup Jao Bilon Mein Ja Kar
Na Suleiman Ka Kuchal Dy Tum Ko Lashkar
Aur Jo Chalti Hai Zameen Par To Woh Kuch Aur Nahi
Paanchi Cheezen Jo Kisi Jism Se Paida Na Huiin
Adam O Hawwa Hain Aur Oontni Hai Saleh Ki
Gosfand Kis Ji Ibraheem Ne Qurbani Ki
Paanchween Cheez Hai Woh Cheez Asaa E Moosa
Saanp Banta To Zameen Par Woh Chala Karta Tha

Jab Ke Haider Se Jawabon Ko Suna
Laaye Emaan Yahoodi Ulama

Aur Darbar Mein Phir Shor Utha
Marhaba Ya Ali
Marhaba Ya Ali

Barh Ke Phir Boly Umar
Hal Na Haider Kary Gar
Aisy Har Masaly Sy
Kiun Na Panah Mangy Umar

Go Ke Bey Sakhta Boly Yeh Umar
Ya Ali Agar Aap Na Hoty To Umar Halak Ho Jata

Ali Na Hoty Agar Halak Hoty Umar

Ay Hasan Kazim Jab Bhi Koi Mushkil Aai
Hal Karny K Liye Sirf Nazar Aaye Ali
Aur Umar Ne Bhi Yeh Farman Kiya Tha Jaari
Jab Ho Darbar Mein Haider Na Dy Fatwa Koi
Warna Yeh Tay Hai Ke Us Shakhs Ki Zillat Ho Gi
Aur Masnad Pa Umar Beth Ky Khud Kehty Yehi
Hal Na Haider Kary Gar
Aisa Har Masaly Sy
Kiun Na Magy Umar

Ho Ky Bey Sakhta Boly Yeh Umar

Ya Ali Agar Ap Na Hoty To Umar Halak Ho Jata

 

Ali Na Hoty Agar Halak Hoty Umar

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply