Reciter: Mir Hasan Mir
Hayya Ali Khairil Amal
Haye Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Pyasy Ka Bey Watan Ka Shah E Mashriqain Ka
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Jab Mah E Muharram Ny Khabar Gham Ki Suna Di
Rukh Kar Ky Baqaiyya Ka Yeh Momin Ny Sada Di
Tashreef Laye Farsh E Aza Sheh Ka Bich Gaya
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Mazloom Ky Gham Mein Hui Maghmoom Khudai
Phir Nam Py Pyason Ky Sabeelen Hain Lagai
Ghar Ghar Mein Hai Hussain Ki Ghurbat Ka Tazkira
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Har Morh Py Dharas Jo Raha Bint E Ali Ki
Woh Jis Ki Shahadat Py Kamar Sheh Ki Jhuki Thi
Us Shair Ky Katy Huye Shanon Ka Wasta
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Aai Jo Madiney Mein Woh Zindaan Sy Palat Kar
Ghar Jany Sy Pehly Gai Madar Ki Lahad Par
Zainab Ny Maa Ki Qabar Py Di Pehli Yeh Sada
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Ghazi Ko Isi Maan Ny Sikhaiin Thi Wafayen
Beton K Liye Bharti Bhala Kaisy Woh Aahen
Noha Tha Yeh Baqaiyyah Mein Ummul Baneen Ka
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Pardais Mein Ummat Ny Jisy Zakhm Diye Hain
Ek Din Mein Jisy Dagh Bahattar Ky Mily Hain
Us Par Salam Jis Ka Bhara Ghar Ujarh Gaya
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Jeeny Na Diya Us Ko Musalmanon Ny Bibi
Pala Tha Jisy Aap Ny Armanon Sy Bibi
Haye Rula Rula Ky Usy Zibah Kar Diya Haye
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Mazloom Ki Gardan Py Woh Chalta Hua Khanjar
Khoon Ko Rulata Hai Takallum Yehi Manzar
Dadi Ki Ujrhi Qabr Py Mahdi Ka Hai Noha
Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka