Reciter: Taha Mehdi
Haye Ibne Hasan Haye Qasim
Qasim Qasim Ibne Hasan Ibne Hasan
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Jorh Kar Tera Badan Kaisy Banaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Dal Kar Tukron Ko Gathri Mein Yeh Kehty Thy Hussain
Aaj Kaisy Tujhy Seeny Sy Lagaye Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Rond Dala Usy Ghorhon Ki Sumon Sy Haye
Haq To Yeh Tha Usy Palkon Py Bithaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Gham Jawan Ka Tha Bahut Kiun Kiya Tukron Mein Badan
Aisa Manzar Na Kisi Maan Ko Dikhaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Dasht Mein Ibne Hasan Ka Lahoo Deta Tha Sada
Mera Ahwal Na Madar Ko Sunaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Dasht Mein Shor Utha Ibne Hasan Ko Maaro
Maan Pukari Mery Bachy Ko Bachaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Chashme Mehdi Sy Tapakta Lahoo Deta Hai Sada
Kam Hai Khoon Jitna Tery Gham Mein Bahaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Haq Ada Kab Hua Qasim Ny Kaha Ay Maula
Hukm E Khaliq Sy Mujhy Phir Sy Uthaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Rasm Lazim Hai Jahan Par Bhi Ho Shadi Ka Samaan
Noha Qasim Ka Wahan Pehly Sunaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye
Taha Hasrat Hai Keh Turbat Mein Hasan Mujh Sy Kahen
Noha Qasim Ka Jo Likha Hai Sunaya Jaye
Kaisy Qasim Tery Tukron Ko Uthaya Jaye