Reciter: Tejani Brothers

Shaam, shaam, shaam, shaam
Ham ko bhi sikha, adab-e-wafa
tujhe Zainab ka wasta

Ya makhduma ya fizza

Jitne zainab ke dil pe ghuzre hai,
Gham wo sab tune bhi uthaaye hai,
Tere bhi sar se chhin gayi chadar,
Tune bhi taaziyane khaye hai

Ya makhduma ya fizza

Bibi kaniz-e-sayyeda,
Zainab ne tujhko maa kahaa
Tera bohot hai martaba

Ya makhduma ya fizza

Jis ghari sheh pe chal rahi thi chhuri,
Teri halat bayaa(n) se bahar thi,
Teri ankho(n) se khun jaari tha,
Kehti thi ayiye madad ko ali

Ya makhduma ya fizza

Bibi kaniz-e-sayyeda,
Maa banke har shaheed ka,
Matam kiya hai marhaba

Ya makhduma ya fizza

Tu kaneeze batool hai bibi,
Tu duaae rasul hai bibi,
Tu hai ehle azaa ki shahzaadi,
Farshe gham ka tu phool hai bibi

Ya makhduma ya fizza

Bibi kaniz-e-sayyeda,
Tu bhi agar kare duwa,
Ttal jaaye sarse har balaa

Ya makhduma ya fizza

Waasta tujhko khune asgher ka
Waasta shahe dee(n) ki dukhtar ka
Humko amno amaa(n) ki dawlat de
Waasta fatema ka haider ka

Ya makhduma ya fizza

Bibi kaniz-e-sayyeda,
Maqrooz momineen ka,
Hojoye karz bhi adaa

Ya makhduma ya fizza

Wo jo be ghar hai unko ghar dede,
Be pisar maao ko pisar dede,
Jinke aangan me aagayi hai khiza
Unko sayaa bhara shajar dede

Ya makhduma ya fizza

Bibi kaniz-e-sayyeda,
Hum sab tere ghulaam hai
Humko hai aasra tera

Ya makhduma ya fizza

Pohnche “rehan” ye salaam mera,
Sheh ki nawha ghari hai kaam mera
Bibi teri duawo ke sadqe
Ponche zehra talak kalaam mera

Ya makhduma ya fizza

Bibi kaniz-e-sayyeda,
Ye nokri hussain ki,
Karta rahu(n) yuhi sadaa

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply