Reciter: Mir Hasan Mir

Shabaan Shabaan Shabaan Shabaan

Shabaan Shabaan Shabaan Aa Gaya Hai

Tabreek Ya Nabi Mabrook Ya Ali
Shabaan Aa Gaya Hai Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai
Ek Sath Ly K Kitny Quran Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Ahl E Aza Jahan Mein Khushiyan Mana Rahy Hain
Dard O Alam K Mary Sab Ko Bata Rahy Hain
Rehmat Ka Maah Qabl E Ramzan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Shahi Laraz Rahi Hai Hal Chal Machi Hui Hai
Pehli Ko Is Ki Bint E Haider Jo Aa Gay Hai
Qasr E Yazeediyat Mein Toofan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Murdy Ki Tarha Ghar Mein Seedhy Parhy Huye Hain
Pehli Se Shaikh Sahib Peely Parhy Huye Hain
Tashkhees Mein Maraz Ki Yarqaan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Ayaat Aa Rahi Hain Karny Ko Paishwai
Shabaan Ki Teesri Ko Us Ki Roonumai
Jibreel Jis Py Hony Qurban Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Jaty Zameen Ki Janib Dekha Jo Sathiyon Ko
Fitrus Tarhap Ky Bola Mujh Ko Bhi Sath Ly Lo
Par Mujh Ko Deny Wala Pardaan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Chothi Ko Is Ki Aaya Jo Hai Wafa Ka Kaaba
Ummul Baneen Maan Hai Haider Hai Jis Ka Baba
Yani Ali Ky Ghar Ka Imran Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Boly Ali Yeh Ly Kar Goudi Mein Bawafa Ko
Jannat Sy Aa Ky Sar Par Ek Bar Hath Rakh Do
Zahra Tumhary Dil Ka Armaan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manaye Kiun Na Ghar Aaj Panjatan Ka
Aaya Hai Saatween Ko Woh Laadla Hasan Ka
Khud Jis Ka Sadqa Leny Rizwan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Jis Ka Nahi Tha Saya Ban Kar Usi Ka Saya
Is Maah Ki Giahraween Ko Aisa Haseen Aya
Khud Husn Ban Ky Jis Ka Darbaan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Azmat Shab E Zahoor E Mahdi Ki Hai Nirali
Is Rat Paida Hony Waly Hain Sab Halali
Allah Ka Zameen Par Farmaan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Jo Sab Ko Dekhta Hai Ghaibat Mein Hai Bazahir
Is Maan Ki Pandhraween Ko Wohi Imam E Akhir
Adlen Khuda Ki Ly Kar Meezan Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Maoqa Mila Hai Kar Ly Tay Maarefat Ka Zeena
Kar Shukar Rab Ka Akbar Yeh Fatimi Maheena
Phir Teri Zindagi Ky Doran Aa Gaya Hai
Shabaan Aa Gaya Hai

Khushiyan Manao Logo Shabaan Aa Gaya Hai

Shaban Shaban Shaban Shaban

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply